भोगे जा चुके सुखों-सा व्यर्थ है
जिया जा रहा जीवन!
जल पर किरणों-सा तिरता
कुर्ते से टूटकर गिरने वाले बटन जितना अधीर,
इतना रिक्त स्थान जमा है कि कुछ रखने की जगह तक नहीं।
मेरे पाप जीवन सहेज न पाया और इसका पूरा भान था मुझे।
लेकिन, मेरे सुखों ने मृत्यु भी दूषित कर दी; इसका खेद कैसे मिटाऊँ?
अंतिम दिन मैं चाहकर भी नहीं धारण कर पाऊँगी श्वेत वस्त्र।
जीवन! तुम्हें खूँटे से बाँधकर ही कूदना होगा मुझे अब जल में।
मेरे महावर के रंग का फूल बनकर विदा देना मुझे।
मैं जल के रंग की आत्मा बन जाऊँगी।
मृत्यु की गंध मैं भाँप लूँगी जब वह दूर होगी कई मील तभी।
खोल देना तुम मेरे केश और मुहाने से देखना अंतिम स्नान,
जैसे कुछ न हुआ हो, यों हिलेगा पीपल।
आकाश का नीला नदी को ताकेगा।
मृत्यु का चेहरा मरकर भी सफ़ेद नहीं पड़ता!
bhoge ja chuke sukhon sa byarth hai
jiya ja raha jiwan!
jal par kirnon sa tirta
kurte se tutkar girne wale button jitna adhir,
itna rikt sthan jama hai ki kuch rakhne ki jagah tak nahin
mere pap jiwan sahej na paya aur iska pura bhan tha mujhe
lekin, mere sukhon ne mirtyu bhi dushait kar dee; iska khed kaise mitaun?
antim din main chahkar bhi nahin dharan kar paungi shwet wastra
jiwan! tumhein khunte se bandhakar hi kudna hoga mujhe ab jal mein
mere mahawar ke rang ka phool bankar wida dena mujhe
main jal ke rang ki aatma ban jaungi
mirtyu ki gandh main bhanp lungi jab wo door hogi kai meel tabhi
khol dena tum mere kesh aur muhane se dekhana antim snan,
jaise kuch na hua ho, yon hilega pipal
akash ka nila nadi ko takega
mirtyu ka chehra markar bhi safed nahin paDta!

स्रोत :
रचनाकार : ज्योति पांडेय
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.