डरता हूँ कि जब कभी वापिस लौटूँगा
तो कहीं वो शहर
मुझे पहचानने से इनकार न कर दे।
कहीं वो यह न पूछ बैठे
कि क्या लेने आए हो इतने दिनों के बाद।
और बड़े दिनों के बाद
अगर कहीं किसी को न पहचान पाया
तो डरता हूँ—
कि वो मेरे बारे में क्या सोचेगा?
जब मेरे कुछ अपने
मुझे वहाँ नहीं दिखेंगें
तो किससे पूछूँगा उनका पता ठिकाना?
नए रास्तों पर चलना
हो सकता है पहले से कुछ आसान हो गया हो
किंतु डरता हूँ—
कि कहीं रास्ता न भटक जाऊँ।
एक अरसे के बाद
अकेले, चुपचाप
जब अपने ही आँगन में खड़ा होऊँंगा
तो डरता हूँ—
कि कहीं वहाँ से गुज़रने वाला कोई
यह न पूछ ले कि
कौन हो तुम? तुम्हें पहले तो कभी नहीं देखा।
Darta hoon ki jab kabhi wapis lautunga
to kahin wo shahr
mujhe pahchanne se inkar na kar de
kahin wo ye na poochh baithe
ki kya lene aaye ho itne dinon ke baad
aur baDe dinon ke baad
agar kahin kisi ko na pahchan paya
to Darta hoon—
ki wo mere bare mein kya sochega?
jab mere kuch apne
mujhe wahan nahin dikhengen
to kisse puchhunga unka pata thikana?
nae raston par chalna
ho sakta hai pahle se kuch asan ho gaya ho
kintu Darta hoon—
ki kahin rasta na bhatak jaun
ek arse ke baad
akele, chupchap
jab apne hi angan mein khaDa hounnga
to Darta hoon—
ki kahin wahan se guzarne wala koi
ye na poochh le ki
kaun ho tum? tumhein pahle to kabhi nahin dekha
Darta hoon ki jab kabhi wapis lautunga
to kahin wo shahr
mujhe pahchanne se inkar na kar de
kahin wo ye na poochh baithe
ki kya lene aaye ho itne dinon ke baad
aur baDe dinon ke baad
agar kahin kisi ko na pahchan paya
to Darta hoon—
ki wo mere bare mein kya sochega?
jab mere kuch apne
mujhe wahan nahin dikhengen
to kisse puchhunga unka pata thikana?
nae raston par chalna
ho sakta hai pahle se kuch asan ho gaya ho
kintu Darta hoon—
ki kahin rasta na bhatak jaun
ek arse ke baad
akele, chupchap
jab apne hi angan mein khaDa hounnga
to Darta hoon—
ki kahin wahan se guzarne wala koi
ye na poochh le ki
kaun ho tum? tumhein pahle to kabhi nahin dekha
स्रोत :
रचनाकार : अशोक कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.