मैं और मेरी परछाई बातें करते हैं
घर-परिवार, दुनिया-जहाँ सब उसमें शामिल है
हम रहते हैं साथ-साथ
हम जीते हैं साथ-साथ
हम लड़ते-भिड़ते हैं साथ-साथ
उजाले में ही नहीं, अँधेरे में भी है यह साथ
कुछ लोग हैं
जो परछाई को घर में बंद रखते हैं
कहते हैं कि वह घर के लिए बनी है
उससे ही घर चलता है, चूल्हा जलता है
बच्चे पालना, कपड़े फींचना
इस्त्री करना, जूठे बरतन साफ़ करना
मतलब हज़ार काम है जो उसे करना है
मेरी परछाई इस घर को तौबा करती है
कहती है कि जो करना है मिलकर करना है
परछाई हूँ कोई ग़ुलाम थोड़े हूँ
हमारा रिश्ता मालिक और मज़ूर का नहीं है
वह मानती नहीं, ज़िद्दी है
मेरे संग डोलती है
जहाँ जाता हूँ, वह जाती है
जब मैं जेल गया, वह भी साथ थी
डंडे पड़े, दो-चार उसने भी सहे
इस तरह सुख ही नहीं दुख में भी साथ रहती है
समय के साथ कहानी बदल चुकी है
कभी वह मेरी परछाई थी, अब मैं उसकी परछाई हूँ
कि कहना मुश्किल है कि कौन किसकी परछाई है
कि दोनों सियामी जुड़वाँ बहनें हैं
वह जहाँ रहती है, वहीं मैं होता हूँ
मैं जहाँ होता हूँ, वहीं वह भी होती है।
main aur meri parchhai baten karte hain
ghar parivar, duniya jahan sab usmen shamil hai
hum rahte hain saath saath
hum jite hain saath saath
hum laDte bhiDte hain saath saath
ujale mein hi nahin, andhere mein bhi hai ye saath
kuch log hain
jo parchhai ko ghar mein band rakhte hain
kahte hain ki wo ghar ke liye bani hai
usse hi ghar chalta hai, chulha jalta hai
bachche palna, kapDe phinchna
istri karna, juthe bartan saaf karna
matlab hazar kaam hai jo use karna hai
meri parchhai is ghar ko tauba karti hai
kahti hai ki jo karna hai milkar karna hai
parchhai hoon koi ghulam thoDe hoon
hamara rishta malik aur mazur ka nahin hai
wo manti nahin, ziddi hai
mere sang Dolti hai
jahan jata hoon, wo jati hai
jab main jel gaya, wo bhi saath thi
DanDe paDe, do chaar usne bhi sahe
is tarah sukh hi nahin dukh mein bhi saath rahti hai
samay ke saath kahani badal chuki hai
kabhi wo meri parchhai thi, ab main uski parchhai hoon
ki kahna mushkil hai ki kaun kiski parchhai hai
ki donon siyami juDvan bahnen hain
wo jahan rahti hai, vahin main hota hoon
main jahan hota hoon, vahin wo bhi hoti hai.

स्रोत :
रचनाकार : कौशल किशोर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.