मैं जाऊँ?
लोगों की छटपटाती साँसों में
या अस्पताल में
लंबी तपती हाँफती क़तारों में
या उन घरों में
जहाँ बीमार भूख से
और बीमार होते जा रहे हैं
भूख और महामारी के
इस दंगल में
किस ओर जाकर
खड़ा हो जाऊँ
जो एक-दूसरे की
फफेली फोड़ देने पर आमादा हैं
या खड़ा हो जाऊँ
घर के चौखट पर
जिसके बाहर आधी रात में
माँ-बाप कूड़े जैसे फेंके जा रहे हैं
या वहाँ
जहाँ एक भाई
अपने भाई को छू तक नहीं रहा है
वहाँ जाऊँ क्या
जहाँ एक डॉक्टर महीनों से
अपने परिवार से नहीं मिल पाया है
वहाँ भी जाना चाहता हूँ
जहाँ भूख से
मुहल्ले के सारे बच्चे दहाड़ रहे हैं
या वहाँ
जहाँ गाँव में एक आदमी
अपनी अधेड़ पत्नी की लाश
पंक्चर साईकल में
पैडल के ऊपर के तिकोनी जगह में
अगहनीया के बोझे जैसा कसकर
गिरते-पड़ते
अकेले डगराकर ले जा रहा है
या जाऊँ
उस गिरोह की चेतना में
जो जीवन रक्षक सुईयों में
पानी भरकर बेंच रहा है
उस स्त्री के पास जाऊँ क्या
जिसकी एक जाँघ पर
उसके पति का शव है
दूसरी जाँघ पर
मृत किशोर बेटे का सिर
या उसकी सूखी आँखों में
आँसू बनकर समा जाऊँ
या उन मेहँदी लगे हाथों में
रच जाऊँ
जो अब हमेशा के लिए
सफ़ेद हो चुके हैं
थोड़ी देर के लिए चला जाऊँ
खचाखच भरी जनसभाओं में
जहाँ वायरस बेरहमी से
तालियों में पिसा जा रहा है
मुझे वहाँ भी जाना है
जहाँ एक बीमार पड़ी माँ
पंद्रह दिनों से
केवल अपनी परछाईयों से बतियाकर ज़िंदा है
और उसका बीमार बेटा
माँ को संक्रमण से बचाने के लिए
उससे मिलने नहीं आ पा रहा है
या हर गाँव के बाहर
पीपल के उन सारे पेड़ों के पास जाऊँ
जहाँ दस बीस घँट टँगे हुए हैं
या जाऊँ
जहाँ हज़ारों की पागल भीड़
कोरोना माइ और कोरोना बाबा की
चिचियाती जयकार कर रही है
या जाऊँ
चैनलों की सूचनाओं में
जहाँ हालात
बेहतर और नियंत्रित बताए जा रहे हैं
मैं चला जाऊँ क्या
सभी खाली सिलिंडरों में
और भर जाऊँ ऑक्सीजन जैसे
मेरा गाँव जाना सबसे ज़रूरी है
पर मैं कैसे जाऊँ उस घर में
जहाँ एक कर्मठ पिता
और उसका होनहार पुत्र
एक हफ़्ते के अंतराल में
निर्मम काल के शिकार हो गए हैं
पर
मुझसे सब कह रहे हैं
तुम अभी-अभी
ख़तरनाक बीमारी से उठे हो
एक नया जन्म ही मिला है
अभी ठीक से
चल भी नहीं पा रहे
तुम्हें घर में रहना होगा
पर मैं नहीं रहना चाहता घर
मैं सबके पास जाना चाहता हूँ
मैं अभी कहाँ जाऊँ?
main jaun?
logon ki chhatpatati sanson men
ya aspatal mein
lambi tapti hanpti qataron men
ya un gharon men
jahan bimar bhookh se
aur bimar hote ja rahe hain
bhookh aur mahamari ke
is dangal men
kis or jakar
khaDa ho jaun
jo ek dusre ki
phapheli phoD dene par amada hain
ya khaDa ho jaun
ghar ke chaukhat par
jiske bahar aadhi raat men
maan baap kuDe jaise phenke ja rahe hain
ya vahan
jahan ek bhai
apne bhai ko chhu tak nahin raha hai
vahan jaun kya
jahan ek doctor mahinon se
apne parivar se nahin mil paya hai
vahan bhi jana chahta hoon
jahan bhookh se
muhalle ke sare bachche dahaD rahe hain
ya vahan
jahan gaanv mein ek adami
apni adheD patni ki laash
puncture saikal men
paiDal ke upar ke tikoni jagah men
agahniya ke bojhe jaisa kaskar
girte paDte
akele Dagrakar le ja raha hai
ya jaun
us giroh ki chetna men
jo jivan rakshak suiyon men
pani bharkar bench raha hai
us istri ke paas jaun kya
jiski ek jaangh par
uske pati ka shau hai
dusri jaangh par
mrit kishor bete ka sir
ya uski sukhi ankhon men
ansu bankar sama jaun
ya un mehandi lage hathon men
rach jaun
jo ab hamesha ke liye
safed ho chuke hain
thoDi der ke liye chala jaun
khachakhach bhari janasbhaon men
jahan virus berahmi se
taliyon mein pisa ja raha hai
mujhe vahan bhi jana hai
jahan ek bimar paDi maan
pandrah dinon se
keval apni parchhaiyon se batiyakar zinda hai
aur uska bimar beta
maan ko sankramn se bachane ke liye
usse milne nahin aa pa raha hai
ya har gaanv ke bahar
pipal ke un sare peDon ke paas jaun
jahan das bees ghant tange hue hain
ya jaun
jahan hazaron ki pagal bheeD
korona mai aur korona baba ki
chichiyati jaykar kar rahi hai
ya jaun
channelon ki suchnaon men
jahan halat
behtar aur niyantrit bataye ja rahe hain
main chala jaun kya
sabhi khali silinDron men
aur bhar jaun oxygen jaise
mera gaanv jana sabse zaruri hai
par main kaise jaun us ghar men
jahan ek karmath pita
aur uska honhar putr
ek hafte ke antral men
nirmam kaal ke shikar ho gaye hain
par
mujhse sab kah rahe hain
tum abhi abhi
khatarnak bimari se uthe ho
ek naya janm hi mila hai,
abhi theek se
chal bhi nahin pa rahe
tumhein ghar mein rahna hoga
par main nahin rahna chahta ghar
main sabke paas jana chahta hoon
main abhi kahan jaun?
main jaun?
logon ki chhatpatati sanson men
ya aspatal mein
lambi tapti hanpti qataron men
ya un gharon men
jahan bimar bhookh se
aur bimar hote ja rahe hain
bhookh aur mahamari ke
is dangal men
kis or jakar
khaDa ho jaun
jo ek dusre ki
phapheli phoD dene par amada hain
ya khaDa ho jaun
ghar ke chaukhat par
jiske bahar aadhi raat men
maan baap kuDe jaise phenke ja rahe hain
ya vahan
jahan ek bhai
apne bhai ko chhu tak nahin raha hai
vahan jaun kya
jahan ek doctor mahinon se
apne parivar se nahin mil paya hai
vahan bhi jana chahta hoon
jahan bhookh se
muhalle ke sare bachche dahaD rahe hain
ya vahan
jahan gaanv mein ek adami
apni adheD patni ki laash
puncture saikal men
paiDal ke upar ke tikoni jagah men
agahniya ke bojhe jaisa kaskar
girte paDte
akele Dagrakar le ja raha hai
ya jaun
us giroh ki chetna men
jo jivan rakshak suiyon men
pani bharkar bench raha hai
us istri ke paas jaun kya
jiski ek jaangh par
uske pati ka shau hai
dusri jaangh par
mrit kishor bete ka sir
ya uski sukhi ankhon men
ansu bankar sama jaun
ya un mehandi lage hathon men
rach jaun
jo ab hamesha ke liye
safed ho chuke hain
thoDi der ke liye chala jaun
khachakhach bhari janasbhaon men
jahan virus berahmi se
taliyon mein pisa ja raha hai
mujhe vahan bhi jana hai
jahan ek bimar paDi maan
pandrah dinon se
keval apni parchhaiyon se batiyakar zinda hai
aur uska bimar beta
maan ko sankramn se bachane ke liye
usse milne nahin aa pa raha hai
ya har gaanv ke bahar
pipal ke un sare peDon ke paas jaun
jahan das bees ghant tange hue hain
ya jaun
jahan hazaron ki pagal bheeD
korona mai aur korona baba ki
chichiyati jaykar kar rahi hai
ya jaun
channelon ki suchnaon men
jahan halat
behtar aur niyantrit bataye ja rahe hain
main chala jaun kya
sabhi khali silinDron men
aur bhar jaun oxygen jaise
mera gaanv jana sabse zaruri hai
par main kaise jaun us ghar men
jahan ek karmath pita
aur uska honhar putr
ek hafte ke antral men
nirmam kaal ke shikar ho gaye hain
par
mujhse sab kah rahe hain
tum abhi abhi
khatarnak bimari se uthe ho
ek naya janm hi mila hai,
abhi theek se
chal bhi nahin pa rahe
tumhein ghar mein rahna hoga
par main nahin rahna chahta ghar
main sabke paas jana chahta hoon
main abhi kahan jaun?
स्रोत :
रचनाकार : श्वेतांक कुमार सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.