सात वर्षीय बच्ची के शब्दकोश में नहीं होता है शब्द
यौन शोषण
उसे नहीं पता होता उत्पीड़िता का दर्द
न शारीरिक बनावट की भिन्नता
न मानसिकता इस समाज की
महज़ सात वर्षों की उमर में
समझाया जाने लगा उसे इन शब्दों का व्यापक व्यापक अर्थ
लुका-छुपी के खेल की तरह
जहाँ हर ढप्पा धकेलता गया उसे
म्लानता की ओर
उसकी आँखे होती गई बर्फ़
और पाँव
पसीना
तब क़लम ने थामा उसका हाथ
और
जीवन ने थपथपाई पीठ
उसका ख़ून अधिक गाढ़ा और लाल हो गया
भय मस्तिष्क की नसों को चीरता हुआ आज़ाद हो गया
और चीख़-चीख़कर कहने लगा
हैवानों
नहीं बच पाओगे
कुचले जाओगे
क़लम की धार से।
saat varshiy bachchi ke shabdkosh mein nahin hota hai shabd
yaun shoshan
use nahin pata hota utpiDita ka dard
na sharirik banavat ki bhinnata
na manasikta is samaj ki
mahz saat varshon ki umar mein
samjhaya jane laga use in shabdon ka vyapak vyapak arth
luka chhupi ke khel ki tarah
jahan har Dhappa dhakelta gaya use
mlanata ki or
uski ankhe hoti gai barf
aur paanv
pasina
tab qalam ne thama uska haath
aur
jivan ne thapthapai peeth
uska khoon adhik gaDha aur laal ho gaya
bhay mastishk ki nason ko chirta hua azad ho gaya
aur cheekh chikhkar kahne laga
haivanon
nahin bach paoge
kuchle jaoge
qalam ki dhaar se.
saat varshiy bachchi ke shabdkosh mein nahin hota hai shabd
yaun shoshan
use nahin pata hota utpiDita ka dard
na sharirik banavat ki bhinnata
na manasikta is samaj ki
mahz saat varshon ki umar mein
samjhaya jane laga use in shabdon ka vyapak vyapak arth
luka chhupi ke khel ki tarah
jahan har Dhappa dhakelta gaya use
mlanata ki or
uski ankhe hoti gai barf
aur paanv
pasina
tab qalam ne thama uska haath
aur
jivan ne thapthapai peeth
uska khoon adhik gaDha aur laal ho gaya
bhay mastishk ki nason ko chirta hua azad ho gaya
aur cheekh chikhkar kahne laga
haivanon
nahin bach paoge
kuchle jaoge
qalam ki dhaar se.
स्रोत :
रचनाकार : अपूर्वा श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.