सुनो मेरी बिटिया
तुम्हारे जन्म की पाँचवीं ही सालगिरह पर
मैं तुम्हारे कानों में कुछ कहना चाहती हूँ
जानती हूँ मैं कि अभी छोटी हो तुम उस उम्र से
पर बदलते वक़्त ने कहाँ छोटा रहने दिया अब बेटियों को
बदलते वक़्त ने चौकन्ना कर दिया है स्त्रियों को
कि वे अपने स्त्री जीवन के अनुभवों की थाती
झट से बाँट लेना चाह रही हैं अपनी बेटियों से
हो सके तो माफ़ करना मेरी बच्ची
कि मेरे समय ने सबसे अधिक छीना
तुमसे तुम्हारा बचपन
तुम्हारे हाथों से छीन कर गुड़िया, खिलौने
थमा दिए हैं हथियार अपनी रक्षा के
तुम्हारी आँखों से छीन कर भोलापन, मासूमियत
भर दिया है उनमें हिरनी का-सा चौकन्नापन
मेरे समय में बेटियाँ लूटी जा रही हैं
मेरे समय में बेटियाँ नोची जा रही हैं
यहाँ-वहाँ बिखरे पड़े हैं धब्बे
उनके ख़ून के, उनके आँसुओं के
न चाह कर भी मैं छीन रही हूँ तुमसे तुम्हारा बचपन
और थमा रही हूँ पोटली
तुम्हें अपने जिए अनुभवों की।
suno meri bitiya
tumhare janm ki panchawin hi salgirah par
main tumhare kanon mein kuch kahna chahti hoon
janti hoon main ki abhi chhoti ho tum us umr se
par badalte waqt ne kahan chhota rahne diya ab betiyon ko
badalte waqt ne chaukanna kar diya hai striyon ko
ki we apne istri jiwan ke anubhwon ki thati
jhat se bant lena chah rahi hain apni betiyon se
ho sake to maf karna meri bachchi
ki mere samay ne sabse adhik chhina
tumse tumhara bachpan
tumhare hathon se chheen kar guDiya, khilaune
thama diye hain hathiyar apni rakhsha ke
tumhari ankhon se chheen kar bholapan, masumiyat
bhar diya hai unmen hirni ka sa chaukannapan
mere samay mein betiyan luti ja rahi hain
mere samay mein betiyan nochi ja rahi hain
yahan wahan bikhre paDe hain dhabbe
unke khoon ke, unke ansuon ke
na chah kar bhi main chheen rahi hoon tumse tumhara bachpan
aur thama rahi hoon potli
tumhein apne jiye anubhwon ki

स्रोत :
रचनाकार : ज्योति चावला
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.