भागता हुआ माघ
रुककर देखता है
सीधा टिकाकर लगा हुआ निशाना
और ख़ुश होकर झूम उठता है
महुआ की गंध में भरे-भरे
रात की बेला में
उतारता है दर्द धीरे-धीरे
छिले घुटने और पीठ पर गड़े नाख़ूनों के निशान भी
मुकर जाते हैं शिनाख़्त की परेड करने से
उम्मीदों और हसरतों की छीना झपटी में
बह उठता है ख़ून उम्मीद का
शाम की दलीलें
किसी खूँटी पर टँगी मूँद लेती हैं आँखें
बिना गवाहों के
छूटकर आवारा कुत्तों-सा
वह रात भर भूँकता है
बे-आवाज़ महुआ
गिरता रहता है रात भर
जाता हुआ माघ
हाड़ की छाल में टीस भर जाता है।
bhagta hua maagh
rukkar dekhta hai
sidha tika kar laga hua nishana
aur khush hokar jhoom uthta hai
mahua ki gandh mein bhare bhare
raat ki bela men
utarta hai dard dhire dhire
chhile ghutne aur peeth par gaDe nakhunon ke nishan bhi
mukar jate hain shinakht ki pareD karne se
ummidon aur hasarton ki chhina jhapti men
bah uthta hai khoon ummid ka
shaam ki dalilen
kisi khunti par tangi moond leti hain ankhen
bina gavahon ke
chhoot kar avara kutton sa
wo raat bhar bhunkta hai
beavaz mahua
girta rahta hai raat bhar
jata hua maagh
haaD ki chhaal mein tees bhar jata hai.
bhagta hua maagh
rukkar dekhta hai
sidha tika kar laga hua nishana
aur khush hokar jhoom uthta hai
mahua ki gandh mein bhare bhare
raat ki bela men
utarta hai dard dhire dhire
chhile ghutne aur peeth par gaDe nakhunon ke nishan bhi
mukar jate hain shinakht ki pareD karne se
ummidon aur hasarton ki chhina jhapti men
bah uthta hai khoon ummid ka
shaam ki dalilen
kisi khunti par tangi moond leti hain ankhen
bina gavahon ke
chhoot kar avara kutton sa
wo raat bhar bhunkta hai
beavaz mahua
girta rahta hai raat bhar
jata hua maagh
haaD ki chhaal mein tees bhar jata hai.
स्रोत :
रचनाकार : गुंजन उपाध्याय पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.