काली रात की चादर को
ब्लेड से कुतरने में जो साँसें ज़ाया हुई है
उनके हिसाब का रजिस्टर था मेरे पास
जला डाला था काँपते हुए उस रात जब ज़ोर बर्फ़ गिरी घाटियों में
उन बादलों की गिरफ़्त में जो जज़्बात थे
बहते दरिया की तलहटी में दफ़न हो चुके कब के
अँगीठी के धुएँ में घुटकर कमरे में खिड़की ख़ोज़ी होगी
जिन दरवाज़ों की दरारों में तंहाई रिसती हो
उनके तालों की चाबी लोहारों की भट्टी में तपती नहीं
सूनी छतों की रज़ाइयों को
धीरे-धीरे काता होगा कभी
रुई से हल्के सपनों को ऐसे ही हवा में तैरने दो
लौटती छाँहों की पगडंडी में वो किसके निशान देख लिए तुमने
भागती आवाज़ों की प्रतिध्वनि को
उस डब्बे में बंदकर
ऊँची पहाड़ी से फिसला दिया है
ज़िंदगी कैसे लुढ़कती है ये भी देख लें ज़रा
kali raat ki chadar ko
bleD se kutarne mein jo sansen zaya hui hai
unke hisab ka rajistar tha mere paas
jala Dala tha kanpte hue us raat jab zor barf giri ghatiyon mein
un badlon ki giraft mein jo jazbat the
bahte dariya ki talahti mein dafan ho chuke kab ke
angithi ke dhuen mein ghutkar kamre mein khiDki khozi hogi
jin darvazon ki dararon mein tanhai risti ho
unke talon ki chabi loharon ki bhatti mein tapti nahin
suni chhaton ki razaiyon ko
dhire dhire kata hoga kabhi
rui se halke sapnon ko aise hi hava mein tairne do
lautti chhanhon ki pagDanDi mein wo kiske nishan dekh liye tumne
bhagti avazon ki pratidhvani ko
us Dabbe mein band kar
uunchi pahaDi se phisla diya hai
zindagi kaise luDhakti hai ye bhi dekh len zara

स्रोत :
रचनाकार : द्वारिका उनियाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.