मुझे लगता था कि
चिड़ियों के बारे में पढ़कर क्या होगा
उन्हें बनाए रखने के लिए
मारना बंद कर देना चाहिए
कारख़ानों में चिमनियाँ
पटाख़ों में बारूद
बंदूक़ में नली
या कम से कम
इंसान के हाथ में उँगलियाँ नहीं होनी चाहिए
आसमान में आग नहीं चिड़िया होनी चाहिए।
वनस्पतिशास्त्र की किताब में
अकेशिया पढ़ते हुए लगा कि
इसे पढ़ना नहीं बचा लेना चाहिए
आरियों में दाँत थे
दिमाग़ नहीं
हमारे हाथों में अब भी उँगलियाँ थीं
जबकि आसमान में चिड़िया होने के लिए
मिट्टी में बदस्तूर पेड़ का होना ज़रूरी था।
फिर देखा मैंने
स्त्री बची रहे प्रेम बचा रहे
इसके लिए
क़लम का
भाषा का ख़त्म होना ज़रूरी है
हर हत्या हमारी उँगलियों पर आ ठहरी
जिन्होंने प्रेम और स्त्री पर बहुत लिखा
दरअस्ल उन्होंने ही नहीं किया प्रेम किसी स्त्री से।
mujhe lagta tha ki
chiDiyon ke bare mein paDhkar kya hoga
unhen banaye rakhne ke liye
marana band kar dena chahiye
karkhanon mein chimniyan
patakhon mein barud
banduq mein nali
ya kam se kam
insan ke hath mein ungliyan nahin honi chahiye
asman mein aag nahin chiDiya honi chahiye
wanaspatishastr ki kitab mein
akeshiya paDhte hue laga ki
ise paDhna nahin bacha lena chahiye
ariyon mein dant the
dimagh nahin
hamare hathon mein ab bhi ungliyan theen
jabki asman mein chiDiya hone ke liye
mitti mein badastur peD ka hona zaruri tha
phir dekha mainne
istri bachi rahe prem bacha rahe
iske liye
qalam ka
bhasha ka khatm hona zaruri hai
har hattya hamari ungliyon par aa thahri
jinhonne prem aur istri par bahut likha
darasl unhonne hi nahin kiya prem kisi istri se
mujhe lagta tha ki
chiDiyon ke bare mein paDhkar kya hoga
unhen banaye rakhne ke liye
marana band kar dena chahiye
karkhanon mein chimniyan
patakhon mein barud
banduq mein nali
ya kam se kam
insan ke hath mein ungliyan nahin honi chahiye
asman mein aag nahin chiDiya honi chahiye
wanaspatishastr ki kitab mein
akeshiya paDhte hue laga ki
ise paDhna nahin bacha lena chahiye
ariyon mein dant the
dimagh nahin
hamare hathon mein ab bhi ungliyan theen
jabki asman mein chiDiya hone ke liye
mitti mein badastur peD ka hona zaruri tha
phir dekha mainne
istri bachi rahe prem bacha rahe
iske liye
qalam ka
bhasha ka khatm hona zaruri hai
har hattya hamari ungliyon par aa thahri
jinhonne prem aur istri par bahut likha
darasl unhonne hi nahin kiya prem kisi istri se
स्रोत :
रचनाकार : अनुराधा सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.