लिखा मुझे वृक्षों ने
फुनगियों पर हिलती पत्तियों ने
सड़कों ने, धूल ने
असंख्य कीड़ों-मकोड़ों ने
पक्षियों ने, तितलियों ने
साँपों ने, केंचुओं ने
लिखा मुझे
अतल में सुलगती कामना ने
लाठी लेकर सड़क पार करते
बूढ़े की थकान से लिपटे
वैराग्य ने
लिखा मुझे
धुँधुआती कथा-सी
स्मृति से उभरती
अचानक दिपदिपाती चाहत ने
बारिश के अजीब-ओ-ग़रीब अक्षरों में
लिखा मुझे
एक औरत ने
घोलहे पानी में लिखे
इतिहास-सा अदृश्य
मेरा समय
हर किसी से गढ़े जाने का
कृतज्ञ स्वीकार
लिखा रहेगा
मेरा नहीं होना
शाम की सड़क पर
वृक्ष पर
पहाड़ की ऊँचाई
और पंछियों के परों में
और उन थोड़े से इंसानी घरों में
जहाँ मैं रहा
इस शरीर के धरम से बँधा
फिर उड़ा तो
लिखा
मेरा नहीं होना
उसी निस्सीम नीलाकाश ने
likha mujhe wrikshon ne
phunagiyon par hilti pattiyon ne
saDkon ne, dhool ne
asankhya kiDon makoDon ne
pakshiyon ne, titaliyon ne
sanpon ne, kenchuon ne
likha mujhe
atal mein sulagti kamna ne
lathi lekar saDak par karte
buDhe ki thakan se lipte
wairagy ne
likha mujhe
dhundhuati katha si
smriti se ubharti
achanak dipadipati chahat ne
barish ke ajib o gharib akshron mein
likha mujhe
ek aurat ne
gholhe pani mein likhe
itihas sa adrshy
mera samay
har kisi se gaDhe jane ka
kritagy swikar
likha rahega
mera nahin hona
sham ki saDak par
wriksh par
pahaD ki unchai
aur panchhiyon ke paron mein
aur un thoDe se insani gharon mein
jahan main raha
is sharir ke dharam se bandha
phir uDa to
likha
mera nahin hona
usi nissim nilakash ne
likha mujhe wrikshon ne
phunagiyon par hilti pattiyon ne
saDkon ne, dhool ne
asankhya kiDon makoDon ne
pakshiyon ne, titaliyon ne
sanpon ne, kenchuon ne
likha mujhe
atal mein sulagti kamna ne
lathi lekar saDak par karte
buDhe ki thakan se lipte
wairagy ne
likha mujhe
dhundhuati katha si
smriti se ubharti
achanak dipadipati chahat ne
barish ke ajib o gharib akshron mein
likha mujhe
ek aurat ne
gholhe pani mein likhe
itihas sa adrshy
mera samay
har kisi se gaDhe jane ka
kritagy swikar
likha rahega
mera nahin hona
sham ki saDak par
wriksh par
pahaD ki unchai
aur panchhiyon ke paron mein
aur un thoDe se insani gharon mein
jahan main raha
is sharir ke dharam se bandha
phir uDa to
likha
mera nahin hona
usi nissim nilakash ne
स्रोत :
रचनाकार : प्रभात त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.