जिसे कभी का नष्ट हो जाना चाहिए था
वह अभी तक जीवित है
जो भुला दिया गया था
फिर से याद आ रहा है
जो चला गया था जैसे हमेशा के लिए खो गया हो
वही लौटता दिखाई दे रहा है
महान देश का महान मध्यवर्ग
लिख सकते हो क्या इसके बारे में
बिना कोई टुकड़ा किए दिमाग़ का
हृदय को बिना छीले
निपात के छद्म सौंदर्य में धकेलते हुए
दुर्बलकाय आम जन को
लिख सकते हो सबसे सुरक्षित संवेगों वाले
बैंक बैलेंस के होते
प्रसन्न होते शेयरों और सोने की उछाल में
लिख सकते हो एसी में पलायन करते
सुसज्जित कक्षों कारों की समय और मौसम
रौंदतीं निश्चिंतताओं में
एक क्षण भी नहीं लगता समय के अंतराल को पाटने में
भूलने में भय की दुर्निवार मौजूदगी
लिख सकते हो क्या अन्याय और असमानता के
सबसे ऊँचे शिखर पर पहुँचकर
सारे दिशाभ्रमों में से सघनतम होता है
रोशनी का अंधकार
लिख सकते हो क्या धनलिप्सा के
प्रदर्शनकारी मंडप में समाजवाद की पूर्णाहुति के बारे में
jise kabhi ka nasht ho jana chahiye tha
wo abhi tak jiwit hai
jo bhula diya gaya tha
phir se yaad aa raha hai
jo chala gaya tha jaise hamesha ke liye kho gaya ho
wahi lautta dikhai de raha hai
mahan desh ka mahan madhyawarg
likh sakte ho kya iske bare mein
bina koi tukDa kiye dimagh ka
hirdai ko bina chhile
nipat ke chhadm saundarya mein dhakelte hue
durbalkay aam jan ko
likh sakte ho sabse surakshait sanwegon wale
baink bailens ke hote
prasann hote sheyron aur sone ki uchhaal mein
likh sakte ho esi mein palayan karte
susajjit kakshon karon ki samay aur mausam
raundtin nishchinttaon mein
ek kshan bhi nahin lagta samay ke antral ko patne mein
bhulne mein bhay ki durniwar maujudgi
likh sakte ho kya annyaye aur asmanata ke
sabse unche sikhar par pahunchakar
sare dishabhrmon mein se saghantam hota hai
roshni ka andhkar
likh sakte ho kya dhanlipsa ke
pradarshankari manDap mein samajawad ki purnahuti ke bare mein
jise kabhi ka nasht ho jana chahiye tha
wo abhi tak jiwit hai
jo bhula diya gaya tha
phir se yaad aa raha hai
jo chala gaya tha jaise hamesha ke liye kho gaya ho
wahi lautta dikhai de raha hai
mahan desh ka mahan madhyawarg
likh sakte ho kya iske bare mein
bina koi tukDa kiye dimagh ka
hirdai ko bina chhile
nipat ke chhadm saundarya mein dhakelte hue
durbalkay aam jan ko
likh sakte ho sabse surakshait sanwegon wale
baink bailens ke hote
prasann hote sheyron aur sone ki uchhaal mein
likh sakte ho esi mein palayan karte
susajjit kakshon karon ki samay aur mausam
raundtin nishchinttaon mein
ek kshan bhi nahin lagta samay ke antral ko patne mein
bhulne mein bhay ki durniwar maujudgi
likh sakte ho kya annyaye aur asmanata ke
sabse unche sikhar par pahunchakar
sare dishabhrmon mein se saghantam hota hai
roshni ka andhkar
likh sakte ho kya dhanlipsa ke
pradarshankari manDap mein samajawad ki purnahuti ke bare mein
स्रोत :
पुस्तक : आशा नाम नदी (पृष्ठ 16)
रचनाकार : ऋतुराज
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.