विज्ञान की नज़र में
चिह्नित हैं मनुष्य की भौतिक संपदाएँ,
आज जो तेरा है कल किसी और का था
धर्म की सलाह है क्यों इस पर इतराएँ।
वे जो लक्ष्मी से भराते हैं पानी,
निर्लिप्त भाव से बोलते हैं संतों वाली बानी।
जो कुछ है उनके पास
सब दिया हुआ है भगवान का,
जिनके जीवन में सिर्फ़ आँकड़े ही बचे रह गए
वे सत्तर प्रतिशत हैं इस मुल्क में
मुश्किल है जिन्हें दर्जा देना इंसान का।
अब मैं विज्ञान के सच को
धर्म की सलाह से जोड़ता हूँ,
संतों वाली निर्लिप्तता से आगे
एक सवाल छोड़ता हूँ
कि सत्तर प्रतिशत की कंगाली में
किसने गीला किया यह आटा है,
अरे! हम भी तो जाने
वह कौन है जिसने
एक के जीवन में शून्यों की भँवर
और दूसरे के दामन को
अशर्फ़ियों से पाटा है।
wigyan ki nazar mein
chihnit hain manushya ki bhautik sampdayen,
aj jo tera hai kal kisi aur ka tha
dharm ki salah hai kyon is par itrayen
we jo lakshmi se bharate hain pani,
nirlipt bhaw se bolte hain santon wali bani
jo kuch hai unke pas
sab diya hua hai bhagwan ka,
jinke jiwan mein sirf ankaDe hi bache rah gaye
we sattar pratishat hain is mulk mein
mushkil hai jinhen darja dena insan ka
ab main wigyan ke sach ko
dharm ki salah se joDta hoon,
santon wali nirliptata se aage
ek sawal chhoDta hoon
ki sattar pratishat ki kangali mein
kisne gila kiya ye aata hai,
are! hum bhi to jane
wo kaun hai jisne
ek ke jiwan mein shunyon ki bhanwar
aur dusre ke daman ko
asharfiyon se pata hai
wigyan ki nazar mein
chihnit hain manushya ki bhautik sampdayen,
aj jo tera hai kal kisi aur ka tha
dharm ki salah hai kyon is par itrayen
we jo lakshmi se bharate hain pani,
nirlipt bhaw se bolte hain santon wali bani
jo kuch hai unke pas
sab diya hua hai bhagwan ka,
jinke jiwan mein sirf ankaDe hi bache rah gaye
we sattar pratishat hain is mulk mein
mushkil hai jinhen darja dena insan ka
ab main wigyan ke sach ko
dharm ki salah se joDta hoon,
santon wali nirliptata se aage
ek sawal chhoDta hoon
ki sattar pratishat ki kangali mein
kisne gila kiya ye aata hai,
are! hum bhi to jane
wo kaun hai jisne
ek ke jiwan mein shunyon ki bhanwar
aur dusre ke daman ko
asharfiyon se pata hai
स्रोत :
रचनाकार : रामजी तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.