जो पुरुष प्रेम में स्त्री को नहीं जान सका
वह एक स्त्री को कैसे जान सकता है
प्रेम में जो कभी खुल कर रो न सका
जो अपने हृदय के प्रति सच्चा रह न सका
वह प्रेम को कैसे जान सकता है
और जो दोनों को नहीं जान सका
वह ख़ुद को कैसे जान सकता है
जो थोड़ी-सी बातों पर पूरा अकड़ जाता है,
कितना अजीब लगता है
जब वह ज़िंदगी की बात करता है!!
जो अपने से इतर मन के भाव को भाषा समझता है
वह चाँद और तारे तोड़कर लाने की बात करता है
लफ्फ़ाज़ी से जिसने किसी का दिल जीता हो,
वह कैसे जानेगा कि इश्क इंक़लाबी होता है?
jo purush prem mein istri ko nahin jaan saka. . !
wo ek istri ko kaise jaan sakta hai. . . ?
prem mein jo kabhi khul kar ro na saka. . !
jo apne hirdai ke prati sachcha rah na saka. . . !
wo prem ko kaise jaan sakta hai. . . ?
aur jo donon ko nahin jaan saka. . . !
wo khu ko kaise jaan sakta hai. . . ?
jo thoDe si baton par pura akaD jata hai,
kitna ajib lagta hai jab wo zindagi ki baat karta hai!!
jo apne se itar man ke bhaav ko bhasha samajhta hai
wo chaand aur tare toDkar lane ki baat karta hai
laffazi se jisne kisi ka dil jita ho,
wo kaise janega ki ishk inqlabi hota hai?

स्रोत :
रचनाकार : अंशू कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.