समंदर तट पर रहने वाली लड़की!
समंदर कितना अकेला होता है अपने भीतर
उतना ही अकेला
जितना वसंत उदास होता है
वसंत के मौसम में
समंदर तट पर बैठी हो तुम
तट की रेत राख हो चुकी है
घुटनों तक राख में डूबे
हवस के दैत्याकार हाथी
तुम्हारी तरफ़ बढ़ते हैं
महावत की उम्र कितनी छोटी होती है हाथी से
अनंत में डूबा तुम्हरा महावत
राख के भीतर से हँसता है
इस शोकपूर्ण हँसी के साथ
तुम अपनी प्रतीक्षा का फंदा
क्षितिज के गले में फँसा दो
समंदर तट पर रहने वाली लड़की!
समंदर के अकेलेपन में
तुमने अपना विछोह घोला
और समंदर ने तुझे
नमक की तरह ख़ूबसूरत बना दिया
सौंदर्य के इस शीर्ष पर
अब मैं सिर्फ़ ‘लड़की’ संबोधित करता हूँ तुझे
वही अनाम लड़की जिसकी कहानी
तमाम कहानियों की शुरुआत से पहले
समाप्त हो चुकी थी
दोस्तोयेवस्की जिसका ज़िक्र
अपने उपन्यासों के अंत तक नहीं कर पाया
एक अनाम लड़की के नाम ख़त लिखकर
कथाओं के पात्र आत्महत्या करते हैं
एक दुखांत अंत के बाद शुरू होती है तुम्हारी ज़िंदगी
कितना मुश्किल है
सिर्फ़ एक ‘लड़की’ होना
नमक की तरह ख़ूबसूरत होना
samandar tat par rahne vali laDki!
samandar kitna akela hota hai apne bhitar
utna hi akela
jitna vasant udaas hota hai
vasant ke mausam men
samandar tat par baithi ho tum
tat ki ret raakh ho chuki hai
ghutnon tak raakh mein Dube
havas ke daityakar hathi
tumhari taraf baDhte hain
mahavat ki umr kitni chhoti hoti hai hathi se
anant mein Duba tumhra mahavat
raakh ke bhitar se hansta hai
is shokpurn hansi ke saath
tum apni pratiksha ka phanda
kshaitij ke gale mein phansa do
samandar tat par rahne vali laDki!
samandar ke akelepan mein
tumne apna vichhoh ghola
aur samandar ne tujhe
namak ki tarah khubsurat bana diya
saundarya ke is sheersh par
ab main sirf ‘laDki’ sambodhit karta hoon tujhe
vahi anam laDki jiski kahani
tamam kahaniyon ki shuruat se pahle
samapt ho chuki thi
dostoyevaski jiska zikr
apne upanyason ke ant tak nahin kar paya
ek anam laDki ke naam ख़t likhkar
kathaon ke paatr atmahatya karte hain
ek dukhant ant ke baad shuru hoti hai tumhari zindagi
kitna mushkil hai
sirf ek ‘laDki’ hona
namak ki tarah khubsurat hona
samandar tat par rahne vali laDki!
samandar kitna akela hota hai apne bhitar
utna hi akela
jitna vasant udaas hota hai
vasant ke mausam men
samandar tat par baithi ho tum
tat ki ret raakh ho chuki hai
ghutnon tak raakh mein Dube
havas ke daityakar hathi
tumhari taraf baDhte hain
mahavat ki umr kitni chhoti hoti hai hathi se
anant mein Duba tumhra mahavat
raakh ke bhitar se hansta hai
is shokpurn hansi ke saath
tum apni pratiksha ka phanda
kshaitij ke gale mein phansa do
samandar tat par rahne vali laDki!
samandar ke akelepan mein
tumne apna vichhoh ghola
aur samandar ne tujhe
namak ki tarah khubsurat bana diya
saundarya ke is sheersh par
ab main sirf ‘laDki’ sambodhit karta hoon tujhe
vahi anam laDki jiski kahani
tamam kahaniyon ki shuruat se pahle
samapt ho chuki thi
dostoyevaski jiska zikr
apne upanyason ke ant tak nahin kar paya
ek anam laDki ke naam ख़t likhkar
kathaon ke paatr atmahatya karte hain
ek dukhant ant ke baad shuru hoti hai tumhari zindagi
kitna mushkil hai
sirf ek ‘laDki’ hona
namak ki tarah khubsurat hona
स्रोत :
रचनाकार : अहर्निश सागर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.