सबेरे और शाम नभ के मैदान में
देख मुझे मंत्रमुग्ध हो जाता है कवि
कानन के शुक, उनकी चारु नासिका में भी
भरा हुआ हूँ उसका सौंदर्य बढ़ाता मैं।
बिंब के फल में भी वर्ण मेरे ही लख
चुगते हैं चाव से उन्हें भी तोते सब
मृदु अधर नारी के मुझसे ही भासते
औ' प्रेमी के मन में उन्माद जगाते है।
बहुत अधिक जल मे डूब नहलाने पर,
रात कई निद्रारहित बिताने पर,
आपे से बाहर हो क्रोध भड़कने पर,
आग की लपट सम आँखों में भरता मैं।
सुपारी पान औ' चूने के मेल से
अद्भुत रूप से मैं पैदा हो जाता
माथे पै' मोहते तिलक सिंदूर में
मंगल सुहाग का चिन्ह दिखलाता मैं।
कोमल, सुगंध भरा सुंदर गुलाब भी
अपने में मुझको ही रखा मन मोहता
जलाती परस से अनल की लपट भी
भासती मेरे ही रंग से ज्वाला बन।
प्रेम और ममता का रिश्ता है ख़ून से
उभरता पर यह भी मेरे ही रंग से
ईश की सृष्टि में एक हैं प्राणी सब
समता दिखलाता ख़ून का रंग ही
कवि मन से मुझको भी चीन्हा पहचाना है।
कंबन ने उसका भी हूँ मैं ही मन-भाया
लाल रंग है मेरा नाम और मेरा है।
काम भी जीवन को रंगीनी देने का।
sabere aur shaam nam ke maidan mein
dekh mujhe mantramugdh ho jata hai kavi
kanan ke shuk, unki charu nasika mein bhi
bhara hua hoon uska saundarya baDhata hai.
bimb ke phal mein bhi varn mere hi lakh
chugte hain chaav se unhen bhi tote sab
mridu adhar nari ke mujhse hi bhaste
au premi ke man mein unmaad jagate hai.
bahut adhik jal mae Doob nahlane par,
raat kai nidra rahit bitane par,
aape se bahar ho krodh bhaDakne par,
aag ki lapat sam ankhon mein bharta main.
supari paan au chune ke mel se
adbhut roop se main paida ho jata
mathe pai mohte tilak sindur mein
mangal suhag ka chinh dikhlata main.
komal, sugandh bhara sundar gulab bhi
apne mein mujhko hi rakha man mohta
jalati paras se anal ki lapat bhi
bhasti mere hi rang se jvala ban.
prem aur mamta ka rishta hai khoon se
ubharta par ye bhi mere hi rang se
ish ki sirishti mein ek hain parani sab
samta dikhlana khoon ka rang hi
kavi man se mujhko bhi chinha pahchana hai.
kamban ne uska bhi hoon main hi man bhaya
laal rang hai mera naam aur mera hai.
kaam bhi jivan ko rangini dene ka.
1. kamban tamish ka mahakavi.
sabere aur shaam nam ke maidan mein
dekh mujhe mantramugdh ho jata hai kavi
kanan ke shuk, unki charu nasika mein bhi
bhara hua hoon uska saundarya baDhata hai.
bimb ke phal mein bhi varn mere hi lakh
chugte hain chaav se unhen bhi tote sab
mridu adhar nari ke mujhse hi bhaste
au premi ke man mein unmaad jagate hai.
bahut adhik jal mae Doob nahlane par,
raat kai nidra rahit bitane par,
aape se bahar ho krodh bhaDakne par,
aag ki lapat sam ankhon mein bharta main.
supari paan au chune ke mel se
adbhut roop se main paida ho jata
mathe pai mohte tilak sindur mein
mangal suhag ka chinh dikhlata main.
komal, sugandh bhara sundar gulab bhi
apne mein mujhko hi rakha man mohta
jalati paras se anal ki lapat bhi
bhasti mere hi rang se jvala ban.
prem aur mamta ka rishta hai khoon se
ubharta par ye bhi mere hi rang se
ish ki sirishti mein ek hain parani sab
samta dikhlana khoon ka rang hi
kavi man se mujhko bhi chinha pahchana hai.
kamban ne uska bhi hoon main hi man bhaya
laal rang hai mera naam aur mera hai.
kaam bhi jivan ko rangini dene ka.
1. kamban tamish ka mahakavi.
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 343)
रचनाकार : आर. सुब्रह्मण्यन
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.