जिस तरह रोता है कोई बूढ़ा पिता अपने एकांत में
कठिन दिनों को झेलते हुए
क्या उसी तरह रोता होगा परम पिता भी
कठिन दिनों में
जिस तरह तलब लगती है थकान के बाद
चाय या बीड़ी की
एक रिक्शावान को
एक गाड़ीवान को
एक हलवाहे को
गिट्टी तोड़ने वाले एक मज़दूर को
कविता लिखने वाले हिंदी कवि मुक्तिबोध
या मनमोहन को
क्या उसी तरह लगती होगी तलब
बीड़ी या चाय की परम पिता को भी
जिस तरह अपने शिशु का चूमती है माथा
अपनी पूरी ऊष्मा होठों पर लाकर एक माँ
क्या उसी ऊष्मा से चूम पाएगा कभी किसी शिशु का माथा
परम पिता भी
क्या परम पिता का भी होता होगा दिल
निर्भया के पिता की तरह!
jis tarah rota hai koi buDha pita apne ekaant men
kathin dinon ko jhelte hue
kya usi tarah rota hoga param pita bhi
kathin dinon mein
jis tarah talab lagti hai thakan ke baad
chaay ya biDi ki
ek rikshavan ko
ek gaDivan ko
ek halvahe ko
gitti toDne vale ek mazdur ko
kavita likhne vale hindi kavi muktibodh
ya manmohan ko
kya usi tarah lagti hogi talab
biDi ya chaay ki param pita ko bhi
jis tarah apne shishu ka chumti hai matha
apni puri uushma hothon par lakar ek maan
kya usi uushma se choom payega kabhi kisi shishu ka matha
param pita bhi
kya param pita ka bhi hota hoga dil
nirbhaya ke pita ki tarah!
jis tarah rota hai koi buDha pita apne ekaant men
kathin dinon ko jhelte hue
kya usi tarah rota hoga param pita bhi
kathin dinon mein
jis tarah talab lagti hai thakan ke baad
chaay ya biDi ki
ek rikshavan ko
ek gaDivan ko
ek halvahe ko
gitti toDne vale ek mazdur ko
kavita likhne vale hindi kavi muktibodh
ya manmohan ko
kya usi tarah lagti hogi talab
biDi ya chaay ki param pita ko bhi
jis tarah apne shishu ka chumti hai matha
apni puri uushma hothon par lakar ek maan
kya usi uushma se choom payega kabhi kisi shishu ka matha
param pita bhi
kya param pita ka bhi hota hoga dil
nirbhaya ke pita ki tarah!
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.