क्या दीखता है वह दूर धुँधलके में
अस्पष्ट पर चमकीला
रहस्य में लिपटा पर फिर भी पहचाना हुआ?
क्या वह कोई चेहरा है
किसी गहरे आवेग से दीप्त?
नहीं,
वह शायद भौंहों की कमान पर चढ़ी
नज़र है
बुलाती हुई या बरजती हुई
या काँपते होंठों पर
पल भर को ठहर गई मुस्कान
लुभावनी या व्यंग्य से भेदती हुई—
नहीं नहीं,
वह बस वक़्त की कसौटी पर खिंची
लकीरें हैं
मेरी कामनाओं की
उन स्वप्नों की
जो एक दिन भगाए लिए जाते थे
यहाँ से वहाँ किसी बेमालूम तलाश में,
या वह बस एक लहर है बेचैन
तूफ़ानी समुद्र से उठकर अधर में ठहरी हुई-सी
और अपनी ही रोशनी में झलमलाती हुई
पर नहीं
वह कोई कुछ और नहीं है
वह मैं हूँ
उस क्षण से बँधा हुआ
अँधेरे भविष्य में ताकता आँखें गड़ाए
जैसे आज मैं खड़ा हूँ
अतीत के दूर उस धुँधलके के रहस्य से
बँधा हुआ।
kya dikhta hai wo door dhundhalake mein
aspasht par chamkila
rahasy mein lipta par phir bhi pahchana hua?
kya wo koi chehra hai
kisi gahre aaweg se deept?
nahin,
wo shayad bhaunhon ki kaman par chaDhi
nazar hai
bulati hui ya barajti hui
ya kanpte honthon par
pal bhar ko thahar gai muskan
lubhawni ya wyangya se bhedti hui—
nahin nahin,
wo bus waqt ki kasauti par khinchi
lakiren hain
meri kamnaon ki
un swapnon ki
jo ek din bhagaye liye jate the
yahan se wahan kisi bemalum talash mein,
ya wo bus ek lahr hai bechain
tufani samudr se uthkar adhar mein thahri hui si
aur apni hi roshni mein jhalamlati hui
par nahin
wo koi kuch aur nahin hai
wo main hoon
us kshan se bandha hua
andhere bhawishya mein takta ankhen gaDaye
jaise aaj main khaDa hoon
atit ke door us dhundhalake ke rahasy se
bandha hua
kya dikhta hai wo door dhundhalake mein
aspasht par chamkila
rahasy mein lipta par phir bhi pahchana hua?
kya wo koi chehra hai
kisi gahre aaweg se deept?
nahin,
wo shayad bhaunhon ki kaman par chaDhi
nazar hai
bulati hui ya barajti hui
ya kanpte honthon par
pal bhar ko thahar gai muskan
lubhawni ya wyangya se bhedti hui—
nahin nahin,
wo bus waqt ki kasauti par khinchi
lakiren hain
meri kamnaon ki
un swapnon ki
jo ek din bhagaye liye jate the
yahan se wahan kisi bemalum talash mein,
ya wo bus ek lahr hai bechain
tufani samudr se uthkar adhar mein thahri hui si
aur apni hi roshni mein jhalamlati hui
par nahin
wo koi kuch aur nahin hai
wo main hoon
us kshan se bandha hua
andhere bhawishya mein takta ankhen gaDaye
jaise aaj main khaDa hoon
atit ke door us dhundhalake ke rahasy se
bandha hua
स्रोत :
पुस्तक : अचानक हम फिर (पृष्ठ 27)
रचनाकार : नेमिचंद्र जैन
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.