लगता है कुछ नया लिखने को नहीं बचा
दिन मन की गति से दौड़ रहा है
मैं स्तब्ध हूँ
आज सारी कविताएँ रद्दी लगने लगी हैं
पूरा दिन निकल जाता है
अब फ़ोन नहीं बजता
मन और मोबाइल साथ डेड हो गए क्या
आभासी युग में
इससे बुरा और क्या हो सकता था
प्रेम पहले मरा या फ़ोन
तो मैं कहूँगी 'फ़ोन'
फ़ोन हर रिश्ते से पहले मरता है
जिसकी अंत्येष्टि की
किसी क्रिया का कहीं उल्लेख नहीं
मन कि मृत्यु के पश्चात सारे मनोरंजन पाखंड हैं
हफ़्तों का मौन तोड़ने के लिए
माँ को फ़ोन लगा लेती हूँ
जब हम्म... हम्म... हम्म... से थक जाती हूँ
फट्ट से कहती हूँ : 'कोई आ गया'
फिर पाँच मिनट का विषैला कोलाहल
दिमाग़ बिल्कुल साँय-साँय करने लगता है
कहानियों के किरदार रोज़ सामने आते हैं
और मैं उन्हें लिखना लगभग निरर्थक समझती हूँ
क्या होगा लिखकर
मन हिम-सा हो रहा है
देह का जीवित रहना
और मन का मरना
यह संसार के लिए अशुभ संकेत है
किंतु कविताई के लिए शुभ
मृत हृदय प्रायः जीवित कविताएँ लिखते हैं...
lagta hai
kuch naya likhne ko nahin bacha
din man ki gati se dauD raha hai
main stabdh hoon
aaj sari kavitayen raddi lagne lagi hain
pura din nikal jata hai
ab phone nahin bajta
man aur mobile saath dead ho gaye kya
abhasi yug mein
isse bura aur kya ho sakta tha
prem pahle mara ya phone
to main kahungi phone
phone har rishte se pahle marta hai
jiski antyeshti ki
kisi kriya ka kahin ullekh nahin
man ki mirtyu ke pashchat sare manoranjan pakhanD hain
hafton ka maun toDne ke liye
maan ko phone laga leti hoon
jab hamm. . . hamm. . . hamm se thak jati hoon
phatt se kahti hoon koi aa gaya
phir paanch minat ka vishaila kolahal
dimagh bilkul sanya sanya karne lagta hai
kahaniyon ke kirdar roz samne aate hain
aur main unhen likhna lagbhag nirapad samajhti hoon
kya hoga likhkar
man him sa jaड़vat ho raha hai
deh ka jivit rahna
aur man ka marna
ye sansar ke liye ashubh sanket hai
kintu kavitai ke liye shubh
mrit hrday praya jivit kavitayen likhte hain. . .
lagta hai
kuch naya likhne ko nahin bacha
din man ki gati se dauD raha hai
main stabdh hoon
aaj sari kavitayen raddi lagne lagi hain
pura din nikal jata hai
ab phone nahin bajta
man aur mobile saath dead ho gaye kya
abhasi yug mein
isse bura aur kya ho sakta tha
prem pahle mara ya phone
to main kahungi phone
phone har rishte se pahle marta hai
jiski antyeshti ki
kisi kriya ka kahin ullekh nahin
man ki mirtyu ke pashchat sare manoranjan pakhanD hain
hafton ka maun toDne ke liye
maan ko phone laga leti hoon
jab hamm. . . hamm. . . hamm se thak jati hoon
phatt se kahti hoon koi aa gaya
phir paanch minat ka vishaila kolahal
dimagh bilkul sanya sanya karne lagta hai
kahaniyon ke kirdar roz samne aate hain
aur main unhen likhna lagbhag nirapad samajhti hoon
kya hoga likhkar
man him sa jaड़vat ho raha hai
deh ka jivit rahna
aur man ka marna
ye sansar ke liye ashubh sanket hai
kintu kavitai ke liye shubh
mrit hrday praya jivit kavitayen likhte hain. . .
स्रोत :
रचनाकार : जुवि शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.