कुछ खिलौने हैं
टूटे हैं
किसी घर तक जाने का रास्ता
उन खिलौनों में ज्यों का त्यों धरा है
एक पेड़ की छाया बरक़रार है
कुछ ख़त हैं
महकते हैं
किसी माज़ी तक जाने का रास्ता
उस महकने में ज्यों का त्यों धरा है
एक पेड़ की छाया बरक़रार है
कुछ दिन हैं
बीते हैं
सुबह महकती है उनके बीतने से
बीता तो ये मेरा था
हाथ तुम्हारे क्यों भर गए हैं बीतने से
एक पेड़ की छाया बरक़रार है
कुछ यादें हैं
भारी हैं
कुछ यादों को माँग लाती है
हवा मेरे आँगन की
कुछ यादों को छूने का रास्ता
उन हवाओं में ज्यों का त्यों धरा है
एक पेड़ की छाया बरक़रार है
कुछ हवाओं में बिखरी नहीं है
दुखती हुई-सी महक कोई
उन हवाओं में खिलती नहीं हूँ मैं
कुछ रास्ते हैं
कुछ भूला नहीं है मन
होता हर बार ये है
कि मेरे साथ-साथ
मेरी सूँघ-सी चली आती है उदासी
कुछ रास्तों पर मिलती नहीं हूँ मैं
एक पेड़ की छाया बरक़रार है
कुछ मौसम हैं
बीते हैं
मेरे हाथ की लिखी कहानी है इनमें
बीता तो ये मेरा था
मन तुम्हारे क्यों भर गए हैं बीतने से
एक पेड़ की छया करब़रार है
कुछ दिन हैं
बच रहे हैं
किसी याद तक जाने का रास्ता
उन दिनों में ज्यों का त्यों धरा है
एक पेड़ की छाया बरक़रार है
कुछ पल हैं
मन के हैं
होता हर बार ये है
कि उन तक जाते-जाते
एक दुख हर बार अटका लेता है मुझे
कुछ दुख हैं
महकते हैं
किसी मन तक जाने का रास्ता
उस महकने में ज्यों का त्यों धरा है
एक दुख की छाया बरक़रार है।
kuch khilaune hain
tute hain
kisi ghar tak jane ka rasta
un khilaunon mein jyon ka tyon dhara hai
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch khat hain
mahakte hain
kisi mazi tak jane ka rasta
us mahakne mein jyon ka tyon dhara hai
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch din hain
bite hain
subah mahakti hai unke bitne se
bita to ye mera tha
hath tumhare kyon bhar gaye hain bitne se
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch yaden hain
bhari hain
kuch yadon ko mang lati hai
hawa mere angan ki
kuch yadon ko chhune ka rasta
un hawaon mein jyon ka tyon dhara hai
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch hawayen hain
dukhti hain
kuch hawaon mein bikhri nahin hai
dukhti hui si mahak koi
un hawaon mein khilti nahin hoon main
kuch raste hain
kuch bhula nahin hai man
hota har bar ye hai
ki mere sath sath
meri soongh si chali aati hai udasi
kuch raston par milti nahin hoon main
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch mausam hain
bite hain
mere hath ki likhi kahani hai inmen
bita to ye mera tha
man tumhare kyon bhar gaye hain bitne se
ek peD ki chhaya karabrar hai
kuch din hain
bach rahe hain
kisi yaad tak jane ka rasta
un dinon mein jyon ka tyon dhara hai
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch pal hain
man ke hain
hota har bar ye hai
ki un tak jate jate
ek dukh har bar atka leta hai mujhe
kuch dukh hain
mahakte hain
kisi man tak jane ka rasta
us mahakne mein jyon ka tyon dhara hai
ek dukh ki chhaya barqarar hai
kuch khilaune hain
tute hain
kisi ghar tak jane ka rasta
un khilaunon mein jyon ka tyon dhara hai
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch khat hain
mahakte hain
kisi mazi tak jane ka rasta
us mahakne mein jyon ka tyon dhara hai
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch din hain
bite hain
subah mahakti hai unke bitne se
bita to ye mera tha
hath tumhare kyon bhar gaye hain bitne se
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch yaden hain
bhari hain
kuch yadon ko mang lati hai
hawa mere angan ki
kuch yadon ko chhune ka rasta
un hawaon mein jyon ka tyon dhara hai
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch hawayen hain
dukhti hain
kuch hawaon mein bikhri nahin hai
dukhti hui si mahak koi
un hawaon mein khilti nahin hoon main
kuch raste hain
kuch bhula nahin hai man
hota har bar ye hai
ki mere sath sath
meri soongh si chali aati hai udasi
kuch raston par milti nahin hoon main
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch mausam hain
bite hain
mere hath ki likhi kahani hai inmen
bita to ye mera tha
man tumhare kyon bhar gaye hain bitne se
ek peD ki chhaya karabrar hai
kuch din hain
bach rahe hain
kisi yaad tak jane ka rasta
un dinon mein jyon ka tyon dhara hai
ek peD ki chhaya barqarar hai
kuch pal hain
man ke hain
hota har bar ye hai
ki un tak jate jate
ek dukh har bar atka leta hai mujhe
kuch dukh hain
mahakte hain
kisi man tak jane ka rasta
us mahakne mein jyon ka tyon dhara hai
ek dukh ki chhaya barqarar hai
स्रोत :
पुस्तक : साक्षात्कार 280 (पृष्ठ 91)
संपादक : भगवत रावत
रचनाकार : हरजीत अर्नेस्ट
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.