बिस्कुट जैसी होती है बच्चों की हँसी
और ग़ुस्सा चॉकलेट की तरह
उन्हें हम उनकी नहीं अपनी दुनिया में देखते हैं
और उनके बारे में फ़ैसले करते हैं
कितना बड़ा अपराध है यह
सज़ा के नाम पर बच्चे हमसे रूठ जाते हैं तो
हम माफ़ी नहीं माँगते वादे करते हैं
और अगले दिन पर टाल देते हैं अपनी हार
हमें पता है कि उनका ग़ुस्सा घुल जाएगा थोड़ी देर में
तब तक उन्हें हँसता देखकर हम इत्मीनान से चाय पीएँगे
और बिल्कुल भूल जाएँगे कि
कई बच्चों के लिए रोटी पहेली की तरह है
और जीवित बच जाना आश्चर्य जैसा
सिर्फ़ शर्मिंदा ही हुआ जा सकता है इस सच पर कि
सभी बच्चों की हँसी बिस्कुट जैसी नहीं होती
और ग़ुस्सा चॉकलेट की तरह...
biscuit jaisi hoti hai bachchon ki hansi
aur ghussa chocolate ki tarah
unhen hum unki nahin apni duniya mein dekhte hain
aur unke bare mein faisle karte hain
kitna baDa apradh hai ye
saza ke nam par bachche hamse rooth jate hain to
hum mafi nahin mangte wade karte hain
aur agle din par tal dete hain apni haar
hamein pata hai ki unka ghussa ghul jayega thoDi der mein
tab tak unhen hansta dekhkar hum itminan se chay piyenge
aur bilkul bhool jayenge ki
kai bachchon ke liye roti paheli ki tarah hai
aur jiwit bach jana ashchary jaisa
sirf sharminda hi hua ja sakta hai is sach par ki
sabhi bachchon ki hansi biscuit jaisi nahin hoti

स्रोत :
पुस्तक : चाँद पर नाव (पृष्ठ 16)
रचनाकार : हेमंत कुकरेती
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.