मैंने कोई अपराध नहीं किया तुम्हारी जानिब
फिर भी क्षमा में जुड़े हैं मेरे हाथ
अभी तुम मेरे सामने बैठी रोती हो
साँत्वना के उम्मीद और भरोसे से भरे
पेशेवर वाक्यों से शुरू करने के बावजूद
मैं घिरता जाता हूँ
तुम्हारी हिचकियों में
तुम्हारे पास है एक समर्थ भाषा
फिर भी, तुम्हारे काम नहीं आ रहा इस समय
एक भी शब्द, एक भी वाक्य
तुम्हारा साँवला सुंदर चेहरा
अभी झुका है
तुम्हारी आँखें बहती ही जाती हैं अनवरत
तुम्हारा संकोची मन
शर्मिंदा है इस अनचाहे संवाद के लिए
बमुश्किल तुम कहती हो एक पूरा वाक्य
बोलती हुई पूरी देह के साथ
क्या इच्छा करना अपराध है
मैं डूबता ही जाता हूँ भँवर में
मेरी पेशेवरी दक्षता केंचुल-सी झड़ रही है
मैं निस्तेज, निःशस्त्र
सर झुकाए बैठा हूँ तुम्हारे सामने
मैं जानता हूँ
मैंने नहीं रोका है तुम्हारा रास्ता
नहीं बंद किया है कोई दरवाज़ा तुम्हारे लिए
फिर भी
क्षमा में जुड़े हैं मेरे हाथ
तुम दौड़ते-दौड़ते थक गई हो
तुमने बर्दाश्त किया है अपनी देह में
अतृप्त आँखों का अनधिकृत प्रवेश
तुम्हारी जाति जानने के बाद पसरी चुप्पी
और हिंसक विरक्ति
झूठे आश्वासनों के पीछे लिजलिजी चालाकियाँ
आँखों में बसे एक चुप्पे सपने के लिए
सह गई हो तुम
अप्रत्याशित सवाल
और घिनौनी तटस्थता
पर आज जैसे तुम्हारा चट्टान-सा मन
किसी कोमल जगह से दरक गया है
और बहने लगा है उससे आत्मा का जल
तुम स्त्री हो
तुम शूद्र हो
तुम निर्धन हो
तुम्हारा कोई पैरोकार नहीं
क्या इतने अपराध एक साथ पर्याप्त नहीं
तुम्हारी हार के लिए
मैं घिरा हूँ अनगिनत सवालों से
धिक्कार से भर उठा है मेरा अंतस
मैं जानता हूँ
मेरी कोई हिस्सेदारी नहीं, तुम्हारी पराजय में
पर मेरी काँपती आत्मा का जल
अभी उमड़ता है तुम्हारी ओर
मेरी आँखों में उतरती जाती है सदियों की व्यथा
मैं शर्मिंदा हूँ
क्षमा के लिए जुडे़ हैं मेरे हाथ
mainne koi apradh nahin kiya tumhari janib
phir bhi kshama mein juDe hain mere haath
abhi tum mere samne baithi roti ho
santvana ke ummid aur bharose se bhare
peshevar vakyon se shuru karne ke bavjud
main ghirta jata hoon
tumhari hichakiyon men
tumhare paas hai ek samarth bhasha
phir bhi, tumhare kaam nahin aa raha is samay
ek bhi shabd, ek bhi vakya
tumhara sanvla sundar chehra
abhi jhuka hai
tumhari ankhen bahti hi jati hain anavrat
tumhara sankochi man
sharminda hai is anchahe sanvad ke liye
bamushkil tum kahti ho ek pura vakya
bolti hui puri deh ke saath
kya ichchha karna apradh hai
main Dubta hi jata hoon bhanvar mein
meri peshevri dakshata kenchul si jhaD rahi hai
main nistej, niःshastr
sar jhukaye baitha hoon tumhare samne
main janta hoon
mainne nahin roka hai tumhara rasta
nahin band kiya hai koi darvaza tumhare liye
phir bhi
kshama mein juDe hain mere haath
tum dauDte dauDte thak gai ho
tumne bardasht kiya hai apni deh men
atript ankhon ka anadhikrit pravesh
tumhari jati janne ke baad pasri chuppi
aur hinsak virakti
jhuthe ashvasnon ke pichhe lijaliji chalakiyan
ankhon mein base ek chuppe sapne ke liye
sah gai ho tum
apratyashit saval
aur ghinauni tatasthata
par aaj jaise tumhara chattan sa man
kisi komal jagah se darak gaya hai
aur bahne laga hai usse aatma ka jal
tum stri ho
tum shoodr ho
tum nirdhan ho
tumhara koi pairokar nahin
kya itne apradh ek saath paryapt nahin
tumhari haar ke liye
main ghira hoon anaginat savalon se
dhikkar se bhar utha hai mera antas
main janta hoon
meri koi hissedari nahin, tumhari parajay men
par meri kanpti aatma ka jal
abhi umaDta hai tumhari or
meri ankhon mein utarti jati hai sadiyon ki vyatha
main sharminda hoon
kshama ke liye juDe hain mere haath
mainne koi apradh nahin kiya tumhari janib
phir bhi kshama mein juDe hain mere haath
abhi tum mere samne baithi roti ho
santvana ke ummid aur bharose se bhare
peshevar vakyon se shuru karne ke bavjud
main ghirta jata hoon
tumhari hichakiyon men
tumhare paas hai ek samarth bhasha
phir bhi, tumhare kaam nahin aa raha is samay
ek bhi shabd, ek bhi vakya
tumhara sanvla sundar chehra
abhi jhuka hai
tumhari ankhen bahti hi jati hain anavrat
tumhara sankochi man
sharminda hai is anchahe sanvad ke liye
bamushkil tum kahti ho ek pura vakya
bolti hui puri deh ke saath
kya ichchha karna apradh hai
main Dubta hi jata hoon bhanvar mein
meri peshevri dakshata kenchul si jhaD rahi hai
main nistej, niःshastr
sar jhukaye baitha hoon tumhare samne
main janta hoon
mainne nahin roka hai tumhara rasta
nahin band kiya hai koi darvaza tumhare liye
phir bhi
kshama mein juDe hain mere haath
tum dauDte dauDte thak gai ho
tumne bardasht kiya hai apni deh men
atript ankhon ka anadhikrit pravesh
tumhari jati janne ke baad pasri chuppi
aur hinsak virakti
jhuthe ashvasnon ke pichhe lijaliji chalakiyan
ankhon mein base ek chuppe sapne ke liye
sah gai ho tum
apratyashit saval
aur ghinauni tatasthata
par aaj jaise tumhara chattan sa man
kisi komal jagah se darak gaya hai
aur bahne laga hai usse aatma ka jal
tum stri ho
tum shoodr ho
tum nirdhan ho
tumhara koi pairokar nahin
kya itne apradh ek saath paryapt nahin
tumhari haar ke liye
main ghira hoon anaginat savalon se
dhikkar se bhar utha hai mera antas
main janta hoon
meri koi hissedari nahin, tumhari parajay men
par meri kanpti aatma ka jal
abhi umaDta hai tumhari or
meri ankhon mein utarti jati hai sadiyon ki vyatha
main sharminda hoon
kshama ke liye juDe hain mere haath
स्रोत :
रचनाकार : आशीष त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.