मैं दूसरों की शिकायतें तुम्हीं से करना चाहता हूँ
दूसरों से मिले आशीर्वाद भी तुम्हें ही दे देना चाहता हूँ
तुम मुझे सबसे सुंदर इसलिए भी लगती हो
क्योंकि मेरे भीतर की सारी सुंदरता तुम्हारे लिए है
तुम्हें चूमने तुम्हारे गले लगने की मेरी ख़्वाहिश
मेरी किसी ज़रूरत को उतना पूरा नहीं करती
जितना मुझे दानी बनाती है।
मैं तुम्हें प्रेम करते हुए मरूँ की कल्पना यदि करता हूँ
तो इसके पीछे यह कामना नहीं है कि मैंने सोच रखा है
प्रेम में मृत्यु मनुष्य को अमर बनाती है
बल्कि इससे दुखांत किंतु बेहतर मैं सोच ही नहीं पाता
यदि मैं इस लायक भी हो जाऊँ
कि यह दुनिया मेरे इशारों पर नाचे
तो मैं चाहूँगा तुम्हारी इच्चाओं का ग़ुलाम होऊँ।
प्रिये,
मैं भी चाहता हूँ तुम्हारी तरह आस्तिक होना
संत होने की सीमा तक धार्मिक होना
भगवान का कोई ऐसा रूप गढ़ लेना
जिसे मैं मनुष्यों के कल्याण के लिए आराध सकूँ
बिना ख़ून बहाए
औरतों, आदिवासियों, मज़दूरों, किसानों को
उनके लूटे गए हक़ दिला सकूँ
मगर ऐसा संभव नहीं हो पाता।
सब ओर से घिर जाने पर
अकेला छोड़ दिए जाने पर
मैं तुम्हारी सुंदर आँखों और प्यारे चेहरे को याद करता हूँ
और आत्मतोष पा लेता हूँ
मैंने पूजा कर ली
मेरी नमाज़ अदा हो गई।
मेरे सुख-दु:ख, स्वर्ग-नर्क तुम्हीं हो
मैं सचमुच समझ नहीं पाता
कब तुम्हें सच्चा प्रेम करता हूँ
जब तुमसे दूर होता हूँ ज़माने भर से लड़ने के लिए
या जब तुम्हें बाहों में भर लेता हूँ।
main dusron ki shikayten tumhin se karna chahta hoon
dusron se mile ashirwad bhi tumhein hi de dena chahta hoon
tum mujhe sabse sundar isliye bhi lagti ho
kyonki mere bhitar ki sari sundarta tumhare liye hai
tumhein chumne tumhare gale lagne ki meri khwahish
meri kisi zarurat ko utna pura nahin karti
jitna mujhe dani banati hai
main tumhein prem karte hue marun ki kalpana yadi karta hoon
to iske pichhe ye kamna nahin hai ki mainne soch rakha hai
prem mein mirtyu manushya ko amar banati hai
balki isse dukhant kintu behtar main soch hi nahin pata
yadi main is layak bhi ho jaun
ki ye duniya mere isharon par nache
to main chahunga tumhari ichchaon ka ghulam houn
priye,
main bhi chahta hoon tumhari tarah astik hona
sant hone ki sima tak dharmik hona
bhagwan ka koi aisa roop gaDh lena
jise main manushyon ke kalyan ke liye aradh sakun
bina khoon bahaye
aurton, adiwasiyon, mazduron, kisanon ko
unke lute gaye haq dila sakun
magar aisa sambhaw nahin ho pata
sab or se ghir jane par
akela chhoD diye jane par
main tumhari sundar ankhon aur pyare chehre ko yaad karta hoon
aur atmatosh pa leta hoon
mainne puja kar li
meri namaz ada ho gai
mere sukh duhakh, swarg nark tumhin ho
main sachmuch samajh nahin pata
kab tumhein sachcha prem karta hoon
jab tumse door hota hoon zamane bhar se laDne ke liye
ya jab tumhein bahon mein bhar leta hoon

स्रोत :
रचनाकार : शशिभूषण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.