मैं एक नियति-भ्रम को जी रहा हूँ!
ख़ाली बेंच पर उचाट नील दबाव
और पास से गुज़रती बसों की भनक
और हवा में बसी हुई शाम की आवाज़ें
ये सभी होने की स्थिति में हैं।
किसी आकस्मिक आँधी के इंतज़ार में
हर चीज़ थिर है—स्तब्ध है।
केवल कुछ धड़कनें हैं। सिगरेट का आख़िरी कश।
मैं
कोई भी गुनाह
करने को राज़ी हूँ।
ज़िंदगी के टूटते-टूटते संबंधों के पुल पर
मैं पूरी बोरियत के साथ दौड़ रहा हूँ।
मुझे मत दो किसी किश्ती का आश्वासन
मैं मौत की भयद विरक्ति चाहता हूँ।
मुझमें
होने-होने की यह स्थिति
एक नियति-भ्रम है
और मैं इसे जी रहा हूँ।
ब्रह्म ही जिज्ञासा ने नचिकेता की रक्षा की थी
यथार्थ की असह्यता में योके वेश्या बनी
और मैं कुछ भी न होने की टूटन में
एक ग़लीज़ अस्तित्व की बुदबुदाहट हूँ—
झरोखे
खिड़कियाँ
दरवाज़े
शून्य की इकाइयों का जमघटा—एक बड़ा शून्य।
दुनिया की नासमझी है कि मैं हूँ
और मेरी नासमझी है कि मैं नहीं हूँ
मैं एक नियति-भ्रम हूँ—और इस होने की स्थिति को
जी रहा हूँ।
बस जी रहा हूँ।
main ek niyti bhram ko ji raha hoon!
khali bench par uchat neel dabaw
aur pas se guzarti bason ki bhanak
aur hawa mein basi hui sham ki awazen
ye sabhi hone ki sthiti mein hain
kisi akasmik andhi ke intzar mein
har cheez thir hai—stabdh hai
kewal kuch dhaDaknen hain cigarette ka akhiri kash
main
koi bhi gunah
karne ko razi hoon
zindagi ke tutte tutte sambandhon ke pul par
main puri boriyat ke sath dauD raha hoon
mujhe mat do kisi kishti ka ashwasan
main maut ki bhayad wirakti chahta hoon
mujhmen
hone hone ki ye sthiti
ek niyti bhram hai
aur main ise ji raha hoon
brahm hi jigyasa ne nachiketa ki rakhsha ki thi
yatharth ki asahyta mein yoke weshya bani
aur main kuch bhi na hone ki tutan mein
ek ghaliz astitw ki budbudahat hoon—
jharokhe
khiDkiyan
darwaze
shunya ki ikaiyon ka jamghata—ek baDa shunya
duniya ki nasamjhi hai ki main hoon
aur meri nasamjhi hai ki main nahin hoon
main ek niyti bhram hun—aur is hone ki sthiti ko
ji raha hoon
bus ji raha hoon
main ek niyti bhram ko ji raha hoon!
khali bench par uchat neel dabaw
aur pas se guzarti bason ki bhanak
aur hawa mein basi hui sham ki awazen
ye sabhi hone ki sthiti mein hain
kisi akasmik andhi ke intzar mein
har cheez thir hai—stabdh hai
kewal kuch dhaDaknen hain cigarette ka akhiri kash
main
koi bhi gunah
karne ko razi hoon
zindagi ke tutte tutte sambandhon ke pul par
main puri boriyat ke sath dauD raha hoon
mujhe mat do kisi kishti ka ashwasan
main maut ki bhayad wirakti chahta hoon
mujhmen
hone hone ki ye sthiti
ek niyti bhram hai
aur main ise ji raha hoon
brahm hi jigyasa ne nachiketa ki rakhsha ki thi
yatharth ki asahyta mein yoke weshya bani
aur main kuch bhi na hone ki tutan mein
ek ghaliz astitw ki budbudahat hoon—
jharokhe
khiDkiyan
darwaze
shunya ki ikaiyon ka jamghata—ek baDa shunya
duniya ki nasamjhi hai ki main hoon
aur meri nasamjhi hai ki main nahin hoon
main ek niyti bhram hun—aur is hone ki sthiti ko
ji raha hoon
bus ji raha hoon
स्रोत :
पुस्तक : आधा दिखता वह आदमी (पृष्ठ 201)
रचनाकार : सौमित्र मोहन
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.