अगर आपसे कोई पूछे कि
एक ऐसी फूहड़, बेढंगी और कर्कशा
पत्नी के साथ
बाप रे बाप
कैसे निभाते हैं आप?
या कोई कहे कि
एक ऐसे उजड्ड, भोंडे़ और मूर्ख
पति के साथ
कैसे रहती हैं आप?
तो इसका उत्तर ‘अथातो ब्रह्म जिज्ञासा’ से
अधिक कठिन है।
यहाँ ‘अहं ब्रह्मास्मि’ या ‘तत्वमसि’
कहने से काम नहीं चलेगा
कई बार छुद्र प्रश्नों में
सभ्यताएँ छिपी होती हैं।
इधर कभी आपने ग़ौर किया
कि दस-बीस रुपए का सामान
बेचने वाले
पाँच सौ या दो हज़ार का नोट देने पर
किस तरह झुँझला उठते हैं
या रुआँसे हो जाते हैं!
पानी तो आजकल हर जगह बिकता है
पर क्यों नहीं मिलता चुल्लू भर पानी?
कई बार सरल प्रश्नों से
दर्शनों का जन्म होता है।
बड़ी-बड़ी बातें करने के आदी हम लोग
छोटे लोगों और बातों पर
ध्यान नहीं देते
दुनिया को समझने के लिए
उलझे रहते हैं सनातन प्रश्नों में।
जैसे मैं कौन हूँ? या
क्या प्रेम ईश्वर की तरह
अगम, अगोचर और अनिर्वचनीय है?
हम ग़ौर नहीं करते कि
कई बार सनातन प्रश्नों में
सनातन मूर्खताएँ छिपी होती हैं।
agar aapse koi puchhe ki
ek aisi phoohD, beDhangi aur karkasha
patni ke sath
bap re bap
kaise nibhate hain aap?
ya koi kahe ki
ek aise ujaDD, bhonDe aur moorkh
pati ke sath
kaise rahti hain aap?
to iska uttar ‘athato brahm jigyasa’ se
adhik kathin hai
yahan ‘ahan brahmasmi’ ya ‘tatwamsi’
kahne se kaam nahin chalega
kai bar chhudr prashnon mein
sabhytayen chhipi hoti hain
idhar kabhi aapne ghaur kiya
ki das bees rupae ka saman
bechne wale
panch sau ya do hazar ka not dene par
kis tarah jhunjhla uthte hain
ya ruanse ho jate hain!
pani to ajkal har jagah bikta hai
par kyon nahin milta chullu bhar pani?
kai bar saral prashnon se
darshnon ka janm hota hai
baDi baDi baten karne ke aadi hum log
chhote logon aur baton par
dhyan nahin dete
duniya ko samajhne ke liye
uljhe rahte hain sanatan prashnon mein
jaise main kaun hoon? ya
kya prem ishwar ki tarah
agam, agochar aur anirwachniy hai?
hum ghaur nahin karte ki
kai bar sanatan prashnon mein
sanatan murkhtayen chhipi hoti hain
agar aapse koi puchhe ki
ek aisi phoohD, beDhangi aur karkasha
patni ke sath
bap re bap
kaise nibhate hain aap?
ya koi kahe ki
ek aise ujaDD, bhonDe aur moorkh
pati ke sath
kaise rahti hain aap?
to iska uttar ‘athato brahm jigyasa’ se
adhik kathin hai
yahan ‘ahan brahmasmi’ ya ‘tatwamsi’
kahne se kaam nahin chalega
kai bar chhudr prashnon mein
sabhytayen chhipi hoti hain
idhar kabhi aapne ghaur kiya
ki das bees rupae ka saman
bechne wale
panch sau ya do hazar ka not dene par
kis tarah jhunjhla uthte hain
ya ruanse ho jate hain!
pani to ajkal har jagah bikta hai
par kyon nahin milta chullu bhar pani?
kai bar saral prashnon se
darshnon ka janm hota hai
baDi baDi baten karne ke aadi hum log
chhote logon aur baton par
dhyan nahin dete
duniya ko samajhne ke liye
uljhe rahte hain sanatan prashnon mein
jaise main kaun hoon? ya
kya prem ishwar ki tarah
agam, agochar aur anirwachniy hai?
hum ghaur nahin karte ki
kai bar sanatan prashnon mein
sanatan murkhtayen chhipi hoti hain
स्रोत :
पुस्तक : इतिहास में अभागे (पृष्ठ 18)
रचनाकार : दिनेश कुशवाह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.