कबीर के घर का किवाड़ खटखटाओ
तो बरबस हिलता है
रहीम के दरवाजे का ताला
ख़ुसरो की कुंडी-साँकल भी
जतन से वैसे ही हिलाओ
जैसे धूप से भरे आँगन-चौगान
हौले से छूकर खोले जाते हैं
कभी रैदास, पलटू और दरिया के यहाँ
जाकर भी देख आना चाहिए
उनके किवाड़ों का तिलिस्म
जिनमें घर के बाहर बिखरे संसार को
अपना दुआर बना लेने का नुस्ख़ा टँका है
नानक और पीपा और रज्जब और बुल्ले शाह
के घरों की खिड़कियों से आने वाली बयार को जो ताला बाँधता हो
उसकी चाबी फेंक आनी चाहिए
उस असूर्यम्पश्य प्रदेश में
जहाँ से लौटना असंभव न सही
मुश्किल ज़रूर हो
ऐसे बहुत सारे ताले, कुंडी-साँकल
और चिटकनी को छूने से
गर खुलता हो रोशनी का दरवाज़ा
तो किवाड़ खटखटाना
सभ्यता के झरोखों को हिलाने जैसा होता है....
kabir ke ghar ka kiwaD khatakhtao
to barbas hilta hai
rahim ke darwaje ka tala
khusro ki kunDi sankal bhi
jatan se waise hi hilao
jaise dhoop se bhare angan chaugan
haule se chhukar khole jate hain
kabhi raidas, paltu aur dariya ke yahan
jakar bhi dekh aana chahiye
unke kiwaDon ka tilism
jinmen ghar ke bahar bikhre sansar ko
apna duar bana lene ka nuskha tanka hai
nanak aur pipa aur rajjab aur bulle shah
ke gharon ki khiDakiyon se aane wali bayar ko jo tala bandhta ho
uski chabi phenk aani chahiye
us asuryampashya pardesh mein
jahan se lautna asambhaw na sahi
mushkil zarur ho
aise bahut sare tale, kunDi sankal
aur chitakni ko chhune se
gar khulta ho roshni ka darwaza
to kiwaD khatkhatana
sabhyata ke jharokhon ko hilane jaisa hota hai
kabir ke ghar ka kiwaD khatakhtao
to barbas hilta hai
rahim ke darwaje ka tala
khusro ki kunDi sankal bhi
jatan se waise hi hilao
jaise dhoop se bhare angan chaugan
haule se chhukar khole jate hain
kabhi raidas, paltu aur dariya ke yahan
jakar bhi dekh aana chahiye
unke kiwaDon ka tilism
jinmen ghar ke bahar bikhre sansar ko
apna duar bana lene ka nuskha tanka hai
nanak aur pipa aur rajjab aur bulle shah
ke gharon ki khiDakiyon se aane wali bayar ko jo tala bandhta ho
uski chabi phenk aani chahiye
us asuryampashya pardesh mein
jahan se lautna asambhaw na sahi
mushkil zarur ho
aise bahut sare tale, kunDi sankal
aur chitakni ko chhune se
gar khulta ho roshni ka darwaza
to kiwaD khatkhatana
sabhyata ke jharokhon ko hilane jaisa hota hai
स्रोत :
रचनाकार : यतींद्र मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.