किताब तुम क्यों नहीं झूठ बोलती
क्यों तुम तो जलाई जाती हो इस दुनिया में
तुम्हारे साथ भी तो किया जाता है
ग़लत व्यवहार
फिर तो तुम्हें भी करनी चाहिए
चापलूसी
बोलना चाहिए
झूठ
दूसरों के लिए नहीं
बल्कि अपने बचाव के लिए।
तुम सच उगलती आ रही हो
प्राचीन काल से
आधुनिक काल तक
मध्यकाल में भी तुम्हें किसी ने नहीं उकसाया
स्वर्ण मुद्राएँ देकर
किसी ने नहीं कहा ज़ोर से
धमकाकर
कि बदलो
मेरा सारा इतिहास
और भूगोल।
बताना आने वाले जनमानस को हमारी उपलब्धियाँ
करना प्रशंसा
ताकि आदर्श रहे
और कहीं ज़िंदा
उनके दिलों दिमाग़ में
लेकिन तुम तो सब सच-सच कह डाले
बात भी बता दी चारणों की
और दरबारी कवियों की
तुम उनसे ही आज सामने आई हो
उनकी बातें विचारों को ही पढ़ते हैं हम
लेकिन यक़ीन करते हैं तुम पर
किसी इतिहासकार, दार्शनिक, लेखक
कवि पर नहीं।
kitab tum kyon nahin jhooth bolti
kyon tum to jalai jati ho is duniya men
tumhare saath bhi to kiya jata hai
ghalat vyvahar
phir to tumhein bhi karni chahiye
chaplusi
bolna chahiye
jhooth
dusron ke liye nahin
balki apne bachav ke liye.
tum sach ugalti aa rahi ho
prachin kaal se
adhunik kaal tak
madhyakal mein bhi tumhein kisi ne nahin uksaya
svarn mudrayen dekar
kisi ne nahin kaha zor se
dhamkakar
ki badlo
mera sara itihas
aur bhugol.
batana aane vale janmanas ko hamari uplabdhiyan
karna prshansa
taki adarsh rahe
aur kahin zinda
unke dilon dimagh men
lekin tum to sab sach sach kah Dale
baat bhi bata di charnon ki
aur darbari kaviyon ki
tum unse hi aaj samne aai ho
unki baten vicharon ko hi paDhte hain hum
lekin yaqin karte hain tum par
kisi itihaskar, darshanik, lekhak
kavi par nahin.
kitab tum kyon nahin jhooth bolti
kyon tum to jalai jati ho is duniya men
tumhare saath bhi to kiya jata hai
ghalat vyvahar
phir to tumhein bhi karni chahiye
chaplusi
bolna chahiye
jhooth
dusron ke liye nahin
balki apne bachav ke liye.
tum sach ugalti aa rahi ho
prachin kaal se
adhunik kaal tak
madhyakal mein bhi tumhein kisi ne nahin uksaya
svarn mudrayen dekar
kisi ne nahin kaha zor se
dhamkakar
ki badlo
mera sara itihas
aur bhugol.
batana aane vale janmanas ko hamari uplabdhiyan
karna prshansa
taki adarsh rahe
aur kahin zinda
unke dilon dimagh men
lekin tum to sab sach sach kah Dale
baat bhi bata di charnon ki
aur darbari kaviyon ki
tum unse hi aaj samne aai ho
unki baten vicharon ko hi paDhte hain hum
lekin yaqin karte hain tum par
kisi itihaskar, darshanik, lekhak
kavi par nahin.
स्रोत :
रचनाकार : आलोक रंजन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.