किसी ने नहीं देखा मुझे
जब आँगन की मिट्टी को
सीमेंट का कवच पहनाया गया
मैं मिट्टी को समझाता रहा
मज़बूत नींव के लिए
ज़रूरी है उसका मरना,
मगर मैंने देखा
एक-एक कर
फूलों को भी मरते हुए।
उस दिन से
मधुमक्खियों ने छोड़ दिया
मेरे आँगन में उठना-बैठना
चिड़ियों ने भी मुँह फेर लिया मुझसे
बारिश और हवा भी
हँसती नहीं अब खुलकर।
अब आँगन में सिर्फ़ सन्नाटा
धूप सेंकने आता है
और इसे उनकी नियति बताता रहता है।
मैंने फूलों के साथ-साथ उस दिन
मधुमक्खियों, चिड़ियों की भी हत्या की;
मिट्टी, बारिश और हवा को तड़पाया।
किसी ने नहीं देखा मुझे
सिर्फ़ मेरे हाथों की सफ़ाई जानती है
मेरे गुनाह कितने बड़े हैं।
kisi ne nahin dekha mujhe
jab angan ki mitti ko
siment ka kawach pahnaya gaya
main mitti ko samjhata raha
mazbut neenw ke liye
zaruri hai uska marna,
magar mainne dekha
ek ek kar
phulon ko bhi marte hue
us din se
madhumakkhiyon ne chhoD diya
mere angan mein uthna baithna
chiDiyon ne bhi munh pher liya mujhse
barish aur hawa bhi
hansti nahin ab khulkar
ab angan mein sirf sannata
dhoop senkne aata hai
aur ise unki niyti batata rahta hai
mainne phulon ke sath sath us din
madhumakkhiyon, chiDiyon ki bhi hattya kee;
mitti, barish aur hawa ko taDpaya
kisi ne nahin dekha mujhe
sirf mere hathon ki safai janti hai
mere gunah kitne baDe hain
kisi ne nahin dekha mujhe
jab angan ki mitti ko
siment ka kawach pahnaya gaya
main mitti ko samjhata raha
mazbut neenw ke liye
zaruri hai uska marna,
magar mainne dekha
ek ek kar
phulon ko bhi marte hue
us din se
madhumakkhiyon ne chhoD diya
mere angan mein uthna baithna
chiDiyon ne bhi munh pher liya mujhse
barish aur hawa bhi
hansti nahin ab khulkar
ab angan mein sirf sannata
dhoop senkne aata hai
aur ise unki niyti batata rahta hai
mainne phulon ke sath sath us din
madhumakkhiyon, chiDiyon ki bhi hattya kee;
mitti, barish aur hawa ko taDpaya
kisi ne nahin dekha mujhe
sirf mere hathon ki safai janti hai
mere gunah kitne baDe hain
स्रोत :
रचनाकार : जसिंता केरकेट्टा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.