बहुत समय पहले, वर्षों पूर्व
तूने एक बार तितली के पंख
मेरी किताब में रखे थे
आज मैंने पुस्तक खोलकर देखा
तितली के पंखों के स्थान पर
दो खुली आँखें टिकी थीं
एक दिन
काग़ज़ पलटते संयोगवश
तुम्हारे ख़त मिले मुझको
लेकिन हरेक ख़त में
वर्णमाला की जगह
हस्तरेखाओं से
ख़ाली हाथों का नक़्शा था।
सर्दी आते देख एक दिन
तुम्हारा दिया स्वेटर निकाला
लेकिन वह सारे का सारा
छेदों से भरा था
ठीक मेरे दिल की तरह।
एक दिन घर का दरवाज़ा
बंद करते देखा
मेरे कान दरवाज़े पर
चिपके हुए थे।
ऋतु बदली तो देखा
आँगन के पेड़ों की
हरेक आँख में से
पत्तियों की जगह चारों ओर
तुम्हारी आँखे उगी थीं।
आज एक उपन्यास पढ़ते हुए महसूस हुआ
जब कोई याद करता है
सिसकियाँ और हिचकियाँ छोड़ जाता
लेकिन जो पीछे रह जाता
फिर नहीं जुड़ता
यदि कहीं जुड़ भी जाए
छेदों में से
बीत चुका दिखता ही रहता है।
bahut samay pahle, warshon poorw
tune ek bar titli ke pankh
meri kitab mein rakhe the
aj mainne pustak kholkar dekha
titli ke pankhon ke sthan par
do khuli ankhen tiki theen
ek din
kaghaz palatte sanyodwash
tumhare khat mile mujhko
lekin harek khat mein
warnamala ki jagah
hastrekhaon se
khali hathon ka naksha tha
sardi aate dekh ek din
tumhara diya sweater nikala
lekin wo sare ka sara
chhedon se bhara tha
theek mere dil ki tarah
ek din ghar ka darwaza
band karte dekha
mere kan darwaze par
chipke hue the
ritu badli to dekha
angan ke peDon ki
harek ankh mein se
pattiyon ki jagah charon or
tumhari ankhe ugi theen
aj ek upanyas paDhte hue mahsus hua
jab koi yaad karta hai
siskiyan aur hichkiyan chhoD jata
lekin jo pichhe rah jata
phir nahin juDta
yadi kahin juD bhi jaye
chhedon mein se
beet chuka dikhta hi rahta hai
bahut samay pahle, warshon poorw
tune ek bar titli ke pankh
meri kitab mein rakhe the
aj mainne pustak kholkar dekha
titli ke pankhon ke sthan par
do khuli ankhen tiki theen
ek din
kaghaz palatte sanyodwash
tumhare khat mile mujhko
lekin harek khat mein
warnamala ki jagah
hastrekhaon se
khali hathon ka naksha tha
sardi aate dekh ek din
tumhara diya sweater nikala
lekin wo sare ka sara
chhedon se bhara tha
theek mere dil ki tarah
ek din ghar ka darwaza
band karte dekha
mere kan darwaze par
chipke hue the
ritu badli to dekha
angan ke peDon ki
harek ankh mein se
pattiyon ki jagah charon or
tumhari ankhe ugi theen
aj ek upanyas paDhte hue mahsus hua
jab koi yaad karta hai
siskiyan aur hichkiyan chhoD jata
lekin jo pichhe rah jata
phir nahin juDta
yadi kahin juD bhi jaye
chhedon mein se
beet chuka dikhta hi rahta hai
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 214)
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.