एक पूरा गाँव क़त्ल किया गया है
एक पूरा देश ही सूतक में है
लाशें बिखेर दी गई हैं
सड़क के दाईं ओर
कौन रोए किसके लिए
जब कोई बचा ही नहीं है
ससुराल से लौटी हैं बेटियाँ
सिर मुँडा तर्पण दे रही हैं
पिताओं को
रसदार पेड़ों में घंट बँधे हैं
मातम में डूबी हाड़ियों में
झलझलाती हैं पिताओं की डबडबाई आँखें
चिल्लाकर घंट फोड़ देना चाहती हैं बेटियाँ
मातम में डूबा है पूरा बाग़
मरी हुई माँएँ दुधमुँहे बच्चे
छाती से चिपटाए
रात भर रोती हैं पेड़ों की ओट से
तालाबों में उल्टी उतराई हैं चारपाइयाँ
पिताओं और भाइयों की
दाग़ लिए हैं बेटियाँ
उनके चेहरे से मिट गए हैं भाव सारे
खपरैलों पर रोती बिल्लियाँ
मुँह में दबाए अपने बच्चों को
किसी और दिशा को जा रही हैं
खलिहानों में कुत्ते और
खेतों में सियारिनों का मातम है
फिर भी टूटता नहीं इस रात का सन्नाटा
सुबह-सुबह घाटों पर बिलखती
सिसकती, डरी हुई हैं बेटियाँ
सूख रहे ख़ून पर क़त्ली बूटों की छाप
दूर तक दिखाई देती है
बंद कमरे में अकुलाहट है
बाहर डर से फूलती है साँस
किस तरफ़ देखूँ
कम हो आँखों की जलन
किस तरफ़ देखूँ
कि आँखों का होना ज़रूरी लगे
उठ रहा है आग का बवंडर
इस छोर से उस छोर तक
फैल रही है आग
पानी में उठ रही हैं तेज़ भँवरें
एक भरी-पूरी नाव
धीरे-धीरे डूब रही है
जबकि मैंने धारण किया है गर्भ
मेरी छातियों में दूध उतरा है
मृत्यु की खुरदुरी जीभ चाटती है
दूध भरी छातियाँ मेरी
किस गोद में छुपाऊँ अपने बच्चों को
चीख़ें न पहुँचें इनके मुलायम कानों तक
बिस्तर पर किस ओर सुलाऊँ
हर ओर जाल-सी बिछी हैं
उनकी घाती इच्छाएँ
उनकी आँखों के गड्ढों में ख़ून भरा है
बहनें जो उम्र में बेटियों-सी थीं
बेटियाँ जो बिन माँओं की थीं
जो हवाओं के मुक़ाबले तेज़ थीं
गड़ती हैं क़त्ली आँखों में रेत-सी
उनकी पीठ के नीचे बिछाए गए हैं
बिजली के नंगे तार
वे डूब रही हैं ख़ून भरे गड्ढों में
हर ओर चल रहा है सरकारी विज्ञापन
‘वियाग्रा’ की गोलियों पर
कुछ औरतें ललचाई हुई हैं
कर रही हैं ज़ख़्मी एक दूसरे की पीठ को
वियाग्रा के नशे में पूरा गाँव डूबा है
पूरा देश ही एक अनचाही पैदाइश है!
उल्टियों पर पाँव धर
उबकाइयों को घोंट
आगे बढ़ रहे हैं लोग...
ek pura ganw qatl kiya gaya hai
ek pura desh hi sutak mein hai
lashen bikher di gai hain
saDak ke dain or
kaun roe kiske liye
jab koi bacha hi nahin hai
sasural se lauti hain betiyan
sir munDa tarpan de rahi hain
pitaon ko
rasdar peDon mein ghant bandhe hain
matam mein Dubi haDiyon mein
jhalajhlati hain pitaon ki DabDabai ankhen
chillakar ghant phoD dena chahti hain betiyan
matam mein Duba hai pura bagh
mari hui manen dudhamunhe bachche
chhati se chiptaye
raat bhar roti hain peDon ki ot se
talabon mein ulti utrai hain charpaiyan
pitaon aur bhaiyon ki
dagh liye hain betiyan
unke chehre se mit gaye hain bhaw sare
khaparailon par roti billiyan
munh mein dabaye apne bachchon ko
kisi aur disha ko ja rahi hain
khalihanon mein kutte aur
kheton mein siyarinon ka matam hai
phir bhi tutta nahin is raat ka sannata
subah subah ghaton par bilakhti
sisakti, Dari hui hain betiyan
sookh rahe khoon par qatli buton ki chhap
door tak dikhai deti hai
band kamre mein akulahat hai
bahar Dar se phulti hai sans
kis taraf dekhun
kam ho ankhon ki jalan
kis taraf dekhun
ki ankhon ka hona zaruri lage
uth raha hai aag ka bawanDar
is chhor se us chhor tak
phail rahi hai aag
pani mein uth rahi hain tez bhanwaren
ek bhari puri naw
dhire dhire Doob rahi hai
jabki mainne dharan kiya hai garbh
meri chhatiyon mein doodh utra hai
mirtyu ki khurduri jeebh chatti hai
doodh bhari chhatiyan meri
kis god mein chhupaun apne bachchon ko
chikhen na pahunchen inke mulayam kanon tak
bistar par kis or sulaun
har or jal si bichhi hain
unki ghati ichhayen
unki ankhon ke gaDDhon mein khoon bhara hai
bahnen jo umr mein betiyon si theen
betiyan jo bin manon ki theen
jo hawaon ke muqable tez theen
gaDti hain qatli ankhon mein ret si
unki peeth ke niche bichhaye gaye hain
bijli ke nange tar
we Doob rahi hain khoon bhare gaDDhon mein
har or chal raha hai sarkari wigyapan
‘wiyagra’ ki goliyon par
kuch aurten lalchai hui hain
kar rahi hain zakhmi ek dusre ki peeth ko
wiyagra ke nashe mein pura ganw Duba hai
pura desh hi ek anchahi paidaish hai!
ultiyon par panw dhar
ubkaiyon ko ghont
age baDh rahe hain log
ek pura ganw qatl kiya gaya hai
ek pura desh hi sutak mein hai
lashen bikher di gai hain
saDak ke dain or
kaun roe kiske liye
jab koi bacha hi nahin hai
sasural se lauti hain betiyan
sir munDa tarpan de rahi hain
pitaon ko
rasdar peDon mein ghant bandhe hain
matam mein Dubi haDiyon mein
jhalajhlati hain pitaon ki DabDabai ankhen
chillakar ghant phoD dena chahti hain betiyan
matam mein Duba hai pura bagh
mari hui manen dudhamunhe bachche
chhati se chiptaye
raat bhar roti hain peDon ki ot se
talabon mein ulti utrai hain charpaiyan
pitaon aur bhaiyon ki
dagh liye hain betiyan
unke chehre se mit gaye hain bhaw sare
khaparailon par roti billiyan
munh mein dabaye apne bachchon ko
kisi aur disha ko ja rahi hain
khalihanon mein kutte aur
kheton mein siyarinon ka matam hai
phir bhi tutta nahin is raat ka sannata
subah subah ghaton par bilakhti
sisakti, Dari hui hain betiyan
sookh rahe khoon par qatli buton ki chhap
door tak dikhai deti hai
band kamre mein akulahat hai
bahar Dar se phulti hai sans
kis taraf dekhun
kam ho ankhon ki jalan
kis taraf dekhun
ki ankhon ka hona zaruri lage
uth raha hai aag ka bawanDar
is chhor se us chhor tak
phail rahi hai aag
pani mein uth rahi hain tez bhanwaren
ek bhari puri naw
dhire dhire Doob rahi hai
jabki mainne dharan kiya hai garbh
meri chhatiyon mein doodh utra hai
mirtyu ki khurduri jeebh chatti hai
doodh bhari chhatiyan meri
kis god mein chhupaun apne bachchon ko
chikhen na pahunchen inke mulayam kanon tak
bistar par kis or sulaun
har or jal si bichhi hain
unki ghati ichhayen
unki ankhon ke gaDDhon mein khoon bhara hai
bahnen jo umr mein betiyon si theen
betiyan jo bin manon ki theen
jo hawaon ke muqable tez theen
gaDti hain qatli ankhon mein ret si
unki peeth ke niche bichhaye gaye hain
bijli ke nange tar
we Doob rahi hain khoon bhare gaDDhon mein
har or chal raha hai sarkari wigyapan
‘wiyagra’ ki goliyon par
kuch aurten lalchai hui hain
kar rahi hain zakhmi ek dusre ki peeth ko
wiyagra ke nashe mein pura ganw Duba hai
pura desh hi ek anchahi paidaish hai!
ultiyon par panw dhar
ubkaiyon ko ghont
age baDh rahe hain log
स्रोत :
रचनाकार : अनुपम सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.