कृष्ण पक्ष की अर्धरात्रि गंगा किनारे
तुम्हारी कथा सुनती हूँ
चिबुक मेरा तुम्हारे घुटनों पर है
और दृष्टि अंतरिक्ष के एक मेघ पर
हृदय प्रेत सामान परिक्रमा करता है तुम्हारी देह की
केश उड़ते हैं शीतल होकर
एक-एक कर खोलती हूँ
गेंदे के आभूषण
तुम्हारी कथा के नायक राजा राम चुनते हैं उन्हें
कि कलयुग में कौन पहनेगा इन्हें
धृष्ट हैं झींगुर
आते हैं मेरी तुम्हारी कथा के बीच
कौन पूछे मंत्रमुग्ध अवस्था में
जैसे यक्ष, गंधर्व, देव सबकी गृहस्थी है
क्या इनकी नहीं है
ज़रा हाथ उठाती हूँ तो नौका डोलती है
तुम्हारी कथा के नीचे प्रगाढ़ जल है
मैं झुकती हूँ किंतु
एक साक्षात् अस्पृश्य स्त्री उसे छू कर देखती है
तुम्हारी कथा में मृत मृग का रक्त चमकता है पलाश जैसे
उठती हूँ कि नखों पर मल लूँ
तुम खींचते हो मेरा मणिबंध
कि यह सतजुग की कथा है
बैठो, जानकी की हँसुली का मूँगा भी रक्तिम चमकता है
अदृश्य वार्तालाप में चूमती हूँ तुम्हारे अधर
तिमिर और गाढ़ हो गया है
कलियुग और भीषण
उठा नहीं जाता
कथा में कथा चलती है संसार में।
krishn paksh ki ardharatri ganga kinare
tumhari katha sunti hoon
chibuk mera tumhare ghutnon par hai
aur drishti antriksh ke ek megh par
hirdai pret saman parikrama karta hai tumhari deh ki
kesh uDte hain shital hokar
ek ek kar kholti hoon
gende ke abhushan
tumhari katha ke nayak raja ram chunte hain unhen
ki kalyug mein kaun pahnega inhen
dhrisht hain jhingur
ate hain meri tumhari katha ke beech
kaun puchhe mantrmugdh awastha mein
jaise yaksh, gandharw, dew sabki grihasthi hai
kya inki nahin hai
zara hath uthati hoon to nauka Dolti hai
tumhari katha ke niche pragaDh jal hai
main jhukti hoon kintu
ek sakshat asprishy istri use chhu kar dekhti hai
tumhari katha mein mrit mrig ka rakt chamakta hai palash jaise
uthti hoon ki nakhon par mal loon
tum khinchte ho mera manibandh
ki ye satjug ki katha hai
baitho, janki ki hansuli ka munga bhi raktim chamakta hai
adrshy wartalap mein chumti hoon tumhare adhar
timir aur gaDh ho gaya hai
kaliyug aur bhishan
utha nahin jata
katha mein katha chalti hai sansar mein
krishn paksh ki ardharatri ganga kinare
tumhari katha sunti hoon
chibuk mera tumhare ghutnon par hai
aur drishti antriksh ke ek megh par
hirdai pret saman parikrama karta hai tumhari deh ki
kesh uDte hain shital hokar
ek ek kar kholti hoon
gende ke abhushan
tumhari katha ke nayak raja ram chunte hain unhen
ki kalyug mein kaun pahnega inhen
dhrisht hain jhingur
ate hain meri tumhari katha ke beech
kaun puchhe mantrmugdh awastha mein
jaise yaksh, gandharw, dew sabki grihasthi hai
kya inki nahin hai
zara hath uthati hoon to nauka Dolti hai
tumhari katha ke niche pragaDh jal hai
main jhukti hoon kintu
ek sakshat asprishy istri use chhu kar dekhti hai
tumhari katha mein mrit mrig ka rakt chamakta hai palash jaise
uthti hoon ki nakhon par mal loon
tum khinchte ho mera manibandh
ki ye satjug ki katha hai
baitho, janki ki hansuli ka munga bhi raktim chamakta hai
adrshy wartalap mein chumti hoon tumhare adhar
timir aur gaDh ho gaya hai
kaliyug aur bhishan
utha nahin jata
katha mein katha chalti hai sansar mein
स्रोत :
रचनाकार : ज्योति शोभा
प्रकाशन : समालोचन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.