गिरो कितनी भी बार मगर
उठो तो यूँ उठो
कि पंख पहले से लंबे हों
और उड़ान न सिर्फ़ ऊँची पर गहरी भी
हारना और डरना रहे
बस हिस्सा भर
एक लंबी उम्र का
और उम्मीद
और भरपूर मोहब्बत
हों परिभाषाएँ
जागो तो सुबह शाँत हो
ठीक जैसे मन भी हो
कि ख़ुद को देखो तो चूमो माथा
गले लगो ख़ुद से चिपककर
कि कब से
कितने वक़्त से,
सदियों से बल्कि
उधार चल रहा है अपने आपका
प्यार का जब हो ज़िक्र
तो सबसे पहला नाम
ख़ुद का याद आए
दुख का हो तो जैसे
किसी भूली भटकी चीज़ का
माँ का हो ज़िक्र तो बस
चेहरे का चूमना याद आए
बेतहाशा, एक साँस में बीसों बार
ग़लतियों और माफ़ियों को भूल जाएँ
ठीक वैसे ही
जैसे लिखकर मिटाया हो
कोई शब्द या लकीर।
giro kitni bhi baar magar
utho to yoon utho
ki pankh pahle se lambe hon
aur uDaan na sirf uunchi par gahri bhi
harna aur Darna rahe
bas hissa bhar
ek lambi umr ka
aur ummid
aur bharpur mohabbat
hon paribhashayen
jago to subah shaant ho
theek jaise man bhi ho
ki khud ko dekho to chumo matha
gale lago khud se chipakkar
ki kab se
kitne vaqt se,
sadiyon se balki
udhaar chal raha hai apne aapka
pyaar ka jab ho zikr
to sabse pahla naam
khud ka yaad aaye
dukh ka ho to jaise
kisi bhuli bhatki cheez ka
maan ka ho zikr to bas
chehre ka chumna yaad aaye
betahasha, ek saans mein bison baar
ghalatiyon aur mafiyon ko bhool jayen
theek vaise hi
jaise likhkar mitaya ho
koi shabd ya lakir.
giro kitni bhi baar magar
utho to yoon utho
ki pankh pahle se lambe hon
aur uDaan na sirf uunchi par gahri bhi
harna aur Darna rahe
bas hissa bhar
ek lambi umr ka
aur ummid
aur bharpur mohabbat
hon paribhashayen
jago to subah shaant ho
theek jaise man bhi ho
ki khud ko dekho to chumo matha
gale lago khud se chipakkar
ki kab se
kitne vaqt se,
sadiyon se balki
udhaar chal raha hai apne aapka
pyaar ka jab ho zikr
to sabse pahla naam
khud ka yaad aaye
dukh ka ho to jaise
kisi bhuli bhatki cheez ka
maan ka ho zikr to bas
chehre ka chumna yaad aaye
betahasha, ek saans mein bison baar
ghalatiyon aur mafiyon ko bhool jayen
theek vaise hi
jaise likhkar mitaya ho
koi shabd ya lakir.
स्रोत :
रचनाकार : रेणु कश्यप
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.