खोटे सिक्कों की तरह
हम फेंक डालते हैं
कई इंसानों को
अपनी चेतना-दिनचर्या के घूरे पर
हम खोते हैं लोगों को
उनके ज़िंदा रहते हुए
जब लहलहाती नहीं
संवाद की हरीतिमा
उनसे बातचीत के रस
अब किसी कलश से
कभी नहीं छलकनेवाले
अब नहीं खिलनेवाले
उनके कहकहों के पुष्प
बाग़ में कहाँ बचती है
कोई गुंजाइश
ज़र्द पत्तों के लिए
बुहार कर एक जगह
कूड़े की गाड़ियों में
या आग के हवाले
कर दिए जाते हैं वे
निष्प्राण रिश्ते की गंध
निष्प्राण देह की गंध से
ज़्यादा असहनीय होती है
मगर, हम भूलते जा रहे हैं
अपनी घ्राण-क्षमता
हम भूलते जा रहे हैं समरसता
पगुराते हुए
अपने-अपने चतुर्भुजों में
हम जानते हैं यह
मगर हम खोते जा रहे हैं
किसी ‘खोते’ की तरह
अपने इस जानने को भी।
khote sikkon ki tarah
hum phenk Dalte hain
kai insanon ko
apni chetna dincharya ke ghure par
hum khote hain logon ko
unke zinda rahte hue
jab lahlahati nahin
sanwad ki haritima
unse batachit ke ras
ab kisi kalash se
kabhi nahin chhalaknewale
ab nahin khilnewale
unke kahakhon ke pushp
bagh mein kahan bachti hai
koi gunjaish
zard patton ke liye
buhar kar ek jagah
kuDe ki gaDiyon mein
ya aag ke hawale
kar diye jate hain we
nishpran rishte ki gandh
nishpran deh ki gandh se
zyada asahniy hoti hai
magar, hum bhulte ja rahe hain
apni ghran kshamata
hum bhulte ja rahe hain samrasta
pagurate hue
apne apne chaturbhujon mein
hum jante hain ye
magar hum khote ja rahe hain
kisi ‘khote’ ki tarah
apne is janne ko bhi
khote sikkon ki tarah
hum phenk Dalte hain
kai insanon ko
apni chetna dincharya ke ghure par
hum khote hain logon ko
unke zinda rahte hue
jab lahlahati nahin
sanwad ki haritima
unse batachit ke ras
ab kisi kalash se
kabhi nahin chhalaknewale
ab nahin khilnewale
unke kahakhon ke pushp
bagh mein kahan bachti hai
koi gunjaish
zard patton ke liye
buhar kar ek jagah
kuDe ki gaDiyon mein
ya aag ke hawale
kar diye jate hain we
nishpran rishte ki gandh
nishpran deh ki gandh se
zyada asahniy hoti hai
magar, hum bhulte ja rahe hain
apni ghran kshamata
hum bhulte ja rahe hain samrasta
pagurate hue
apne apne chaturbhujon mein
hum jante hain ye
magar hum khote ja rahe hain
kisi ‘khote’ ki tarah
apne is janne ko bhi
स्रोत :
रचनाकार : अर्पण कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.