खिनुवा का पेड़ हूँ मैं
तुम कहाँ पहचानोगे मुझे
मैं नहीं दे सकता हूँ तुम्हें
सरस-स्वादिष्ट फल
नहीं बन सकता हूँ तुम्हारी हवेली की
दरवाज़े-खिड़कियों की चौखट
मेरे पास नहीं हैं
चित्ताकर्षक और सुगंधित फूल
जिन्हें सज़ा सको तुम अपने फूलदानों में
न मैं कोई पवित्र पेड़ हूँ
तुम्हारे व्यवहार पर
मुझे न आश्चर्य है और न अफ़सोस
मैं अच्छी तरह पहचानता हूँ तुम्हें
तपती दुपहरी बीच
बीहड़ में भटकते को
मैं दे सकता हूँ गझिन छाया
ठंड में ठिठुरते की रात को
गरमा सकता हूँ
लौकी-ककड़ी-तोरई की बेलों के लिए
बन सकता हूँ माकूल ठाड़रा
काटकर फेंक दो मुझे
तमाम उपेक्षाओं के बावजूद
ज़रा-सी मिट्टी और नमी पाकर
फिर से खड़ा हो सकता हूँ
फैला सकता हूँ अपनी भुजाएँ
ख़ुशी है मुझे
शामिल हो सकता हूँ
पक्षियों के मुक्ति समूहगान में
दूर आसमान की उड़ान में
तुम नहीं पहचानोगे मुझे
मैं खिनुवा का पेड़ हूँ।
khinuwa ka peD hoon main
tum kahan pahchanoge mujhe
main nahin de sakta hoon tumhein
saras swadisht phal
nahin ban sakta hoon tumhari haweli ki
darwaze khiDakiyon ki chaukhat
mere pas nahin hain
chittakarshak aur sugandhit phool
jinhen saza sako tum apne phuldanon mein
na main koi pawitra peD hoon
tumhare wywahar par
mujhe na ashchary hai aur na afsos
main achchhi tarah pahchanta hoon tumhein
tapti dupahri beech
bihaD mein bhatakte ko
main de sakta hoon gajhin chhaya
thanD mein thithurte ki raat ko
garma sakta hoon
lauki kakDi torai ki belon ke liye
ban sakta hoon makul thaDra
katkar phenk do mujhe
tamam upekshaon ke bawjud
zara si mitti aur nami pakar
phir se khaDa ho sakta hoon
phaila sakta hoon apni bhujayen
khushi hai mujhe
shamil ho sakta hoon
pakshiyon ke mukti samuhagan mein
door asman ki uDan mein
tum nahin pahchanoge mujhe
main khinuwa ka peD hoon
khinuwa ka peD hoon main
tum kahan pahchanoge mujhe
main nahin de sakta hoon tumhein
saras swadisht phal
nahin ban sakta hoon tumhari haweli ki
darwaze khiDakiyon ki chaukhat
mere pas nahin hain
chittakarshak aur sugandhit phool
jinhen saza sako tum apne phuldanon mein
na main koi pawitra peD hoon
tumhare wywahar par
mujhe na ashchary hai aur na afsos
main achchhi tarah pahchanta hoon tumhein
tapti dupahri beech
bihaD mein bhatakte ko
main de sakta hoon gajhin chhaya
thanD mein thithurte ki raat ko
garma sakta hoon
lauki kakDi torai ki belon ke liye
ban sakta hoon makul thaDra
katkar phenk do mujhe
tamam upekshaon ke bawjud
zara si mitti aur nami pakar
phir se khaDa ho sakta hoon
phaila sakta hoon apni bhujayen
khushi hai mujhe
shamil ho sakta hoon
pakshiyon ke mukti samuhagan mein
door asman ki uDan mein
tum nahin pahchanoge mujhe
main khinuwa ka peD hoon
स्रोत :
रचनाकार : महेश चंद्र पुनेठा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.