औरतों से ऊब गया अलाउद्दीन ख़िलजी
उसने जब मलिक काफ़ूर को
पहली बार बाज़ार में बिकते देखा
उसकी ऊब ने उसे इश्क़ का शिकार बना दिया
काफ़ूर का लोहे-सा बदन और उसकी पसीने की गंध
ख़िलजी के भीतर एक औरत को ज़िंदा करती
हर शाम जब ख़िलजी
जब ख़ूब नशे में होता
घाघरा और चोलियाँ पहन लिया करता
औरतों के कपड़ों में ख़िलजी का गोरा और छरहरा बदन ख़ूब फबता था
आँखों के काले सुरमों को काजल से और
कान के मोटे कुंडलों को बालियों से बदलता
पलकें भी नाज़ो-अदा से उठाने की कोशिश करता
काफ़ूर जंगी आदमी था
उसे बिस्तर से ज़्यादा घोड़े की पीठ
और जंग के मैदान पसंद थे
काफ़ूर से मिलने से पहले ख़िलजी के शौक़ भी
कुछ इसी तरह के हुआ करते थे
आजकल कजरियाँ गुनगुनाता था ख़िलजी
इश्क़ में गिरफ़्तार ख़िलजी की साँसें धौंकनी-सी हो जातीं
जब मलिक काफ़ूर के घोड़े की टापें महल में लश्कर के साथ पड़तीं
हिंदुस्तान के तमाम इलाक़ों को जीतने की ख़्वाहिशें ख़िलजी ने
मालिक के कानों में फुसफुसाते हुए ज़ाहिर की थीं
मलिक भी अपने माशूक़ मालिक की हर ख़्वाहिश
उसके बिस्तर पर लाकर देता रहा
अलाउद्दीन ख़िलजी की एक इंसानी आदत थी
वह ऊब जाता था
वह ऊब कर ग़श खा गया
एक रोज़ जब उसने पद्मिनी को देखा
मलिक काफ़ूर ने पद्मिनी को तबाह कर दिया
aurton se uub gaya alauddin khilji
usne jab malik kafur ko pahli baar bazar mein bikte dekha
uski uub ne use ishq ka shikar bana diya
kafur ka lohe sa badan aur uski pasine ki gandh
khilji ke bhitar ek aurat ko zinda karti
har shaam jab khilji
jab khoob nashe mein hota
ghaghara aur choliyan pahan liya karta
aurton ke kapDon mein khilji ka gora aur chharahra badan khoob fabta tha
ankhon ke kale surmon ko kajal se aur
kaan ke mote kunDlon ko baliyon se badalta
palken bhi nazo ada se uthane ki koshish karta
kafur jangi adami tha
use bistar se zyada ghoDe ki peeth aur jang ke maidan pasand the
kafur se milne se pahle khilji ke shauk bhi kuch isi tarah ke hua karte the
ajkal kajariyan gungunata tha khilji
yaad piya ki aaye haay. . .
ishq mein giraftar khilji ki sanse dhaunkni si ho jatin
jab malik kafur ke ghoDe ki tapen mahl mein lashkar ke saath paDtin
hindustan ke tamam ilaqon ko jitne ki khvahishen khilji ne
malik ke kanon mein phusaphusate hue zahir ki theen
malik bhi apne mashuk malik ki har khvahish uske bistar par lakar deta raha
alauddin khilji ki ek insani aadat thi
wo uub jata tha
wo uub kar gash kha gaya ek roz jab usne padmini ko dekha
malik kafur ne padmini ko tabah kar diya

स्रोत :
रचनाकार : अरमान आनंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.