जीवन में ख़ुशी के लिए कम ही चाहिए होता है,
वह कम कई बार बस इतना होता है
हमें जब बसों, गाड़ियों और जहाज़ों में यात्रा करनी हो,
तो हम इतने भाग्यशाली हों,
कि हमें खिड़की वाली सीट मिल जाए,
हम टिकट लेकर
बग़ैर सहयात्रियों से उलझे,
सामान सुरक्षित रखने के बाद,
आसानी से अपनी खोह में जा सकें।
घर से निर्जन के बीच ऐसी जगहें बमुश्किल होती हैं
जहाँ हम फूल जैसी हल्की नींद ले सकें
सैकड़ों पेड़ झुलाए नींद को,
या बादलों की सफ़ेदी ले जाए निर्वात की ओर।
इस छोटी-सी नींद से जगना चमत्कार जैसा है,
यह नींद हमारे छीजे हुए मन को सिल देती है
इस नींद से जग कर,
जैसे हम इस हैसियत में लौट सकें,
और ख़ुद से एक बार फिर पूछें,
कि हम कौन हैं,
भले इस प्रश्न के उत्तर में,
हम फूट-फूट कर रो पड़ें।
jiwan mein khushi ke liye kam hi chahiye hota hai,
wo kam kai bar bus itna hota hai
hamein jab bason, gaDiyon aur jahazon mein yatra karni ho,
to hum itne bhagyashali hon,
ki hamein khiDki wali seat mil jaye,
hum ticket lekar
baghair sahyatriyon se uljhe,
saman surakshait rakhne ke baad,
asani se apni khoh mein ja saken
ghar se nirjan ke beech aisi jaghen bamushkil hoti hain
jahan hum phool jaisi halki neend le saken
saikDon peD jhulaye neend ko,
ya badlon ki safedi le jaye nirwat ki or
is chhoti si neend se jagna chamatkar jaisa hai,
ye neend hamare chhije hue man ko sil deti hai
is neend se jag kar,
jaise hum is haisiyat mein laut saken,
aur khu se ek bar phir puchhen,
ki hum kaun hain,
bhale is parashn ke uttar mein,
hum phoot phoot kar ro paDen
jiwan mein khushi ke liye kam hi chahiye hota hai,
wo kam kai bar bus itna hota hai
hamein jab bason, gaDiyon aur jahazon mein yatra karni ho,
to hum itne bhagyashali hon,
ki hamein khiDki wali seat mil jaye,
hum ticket lekar
baghair sahyatriyon se uljhe,
saman surakshait rakhne ke baad,
asani se apni khoh mein ja saken
ghar se nirjan ke beech aisi jaghen bamushkil hoti hain
jahan hum phool jaisi halki neend le saken
saikDon peD jhulaye neend ko,
ya badlon ki safedi le jaye nirwat ki or
is chhoti si neend se jagna chamatkar jaisa hai,
ye neend hamare chhije hue man ko sil deti hai
is neend se jag kar,
jaise hum is haisiyat mein laut saken,
aur khu se ek bar phir puchhen,
ki hum kaun hain,
bhale is parashn ke uttar mein,
hum phoot phoot kar ro paDen
स्रोत :
पुस्तक : आश्चर्यवत् (पृष्ठ 40)
रचनाकार : मोनिका कुमार
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.