जिनको ख़तरा है, उनसे ख़तरा है
ख़तरा है झूठ को बढ़ती हुई नाक से
ख़तरा है अहं को हृदय की माप से
पत्थर को मत्थे से
भीड़ को निहत्थे से ख़तरा है
ख़तरा है
जिनको ख़तरा है, उनसे ख़तरा है
बरहना लाशों से ख़तरा है क़फ़नों को
जलती चिताओं से ख़तरा है ज़हनों को
पेड़ों से जंगल को,
मौसम से मंगल को ख़तरा है
जिनको ख़तरा है, उनसे ख़तरा है
ख़तरा है अट्टहास को आस से
ख़तरा है सभ्यता को इतिहास से
धर्म को विश्वास से
रुई को कपास से ख़तरा है
जिनको ख़तरा है, उनसे ख़तरा है
भाषा से व्याकरण को ख़तरा है
चरित्र को आचरण से ख़तरा है
आमरण को मरण से
हरण को भरण से
लहर को संतरण से ख़तरा है
जिनको ख़तरा है, उनसे ख़तरा है
ख़तरा है आत्म-निर्भरता को आत्म से
ख़तरा है आस्था को अध्यात्म से
राख को अबीर से
नाथ को कबीर से ख़तरा है
अधिनायक को जन से ख़तरा है
क़ाफ़िले को प्रदर्शन से ख़तरा है
बुलेट-प्रूफ़ को नारों से
जुमलों को चीख़-पुकारों से
कामना को तन से, बात को मन से ख़तरा है
जिनको ख़तरा है, उनसे ख़तरा है
कर्मयोगियों को कर्म से ख़तरा है
बंधुत्व को चर्म से ख़तरा है
रीति को रिवाज से
मुखौटे को मिज़ाज से
समता को समाज से
आँधियों को कणों से
शिव को गणों से
नख़रे को कर्तव्य से
वक्तव्य को मंतव्य से
कल को आज से
गले को आवाज़ से
सड़क को नमाज़ से ख़तरा है
जिनको ख़तरा है, उनसे ख़तरा है।
jinko khatra hai, unse khatra hai
khatra hai jhooth ko baDhti hui nak se
khatra hai ahan ko hirdai ki map se
patthar ko matthe se
bheeD ko nihatthe se khatra hai
khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
barahna lashon se khatra hai qafnon ko
jalti chitaon se khatra hai zahnon ko
peDon se jangal ko,
mausam se mangal ko khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
khatra hai attahas ko aas se
khatra hai sabhyata ko itihas se
dharm ko wishwas se
rui ko kapas se khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
bhasha se wyakaran ko khatra hai
charitr ko acharn se khatra hai
amarn ko marn se
harn ko bharn se
lahr ko santran se khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
khatra hai aatm nirbharta ko aatm se
khatra hai astha ko adhyatm se
rakh ko abir se
nath ko kabir se khatra hai
jinko khatra, unse khatra hai
adhinayak ko jan se khatra hai
qafile ko pradarshan se khatra hai
bullet proof ko naron se
jumlon ko cheekh pukaron se
kamna ko tan se, baat ko man se khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
karmyogiyon ko karm se khatra hai
bandhutw ko charm se khatra hai
riti ko riwaj se
mukhaute ko mizaj se
samta ko samaj se
andhiyon ko kanon se
shiw ko ganon se
nakhre ko kartawya se
waktawy ko mantawya se
kal ko aaj se
gale ko awaz se
saDak ko namaz se khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
khatra hai jhooth ko baDhti hui nak se
khatra hai ahan ko hirdai ki map se
patthar ko matthe se
bheeD ko nihatthe se khatra hai
khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
barahna lashon se khatra hai qafnon ko
jalti chitaon se khatra hai zahnon ko
peDon se jangal ko,
mausam se mangal ko khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
khatra hai attahas ko aas se
khatra hai sabhyata ko itihas se
dharm ko wishwas se
rui ko kapas se khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
bhasha se wyakaran ko khatra hai
charitr ko acharn se khatra hai
amarn ko marn se
harn ko bharn se
lahr ko santran se khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
khatra hai aatm nirbharta ko aatm se
khatra hai astha ko adhyatm se
rakh ko abir se
nath ko kabir se khatra hai
jinko khatra, unse khatra hai
adhinayak ko jan se khatra hai
qafile ko pradarshan se khatra hai
bullet proof ko naron se
jumlon ko cheekh pukaron se
kamna ko tan se, baat ko man se khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
karmyogiyon ko karm se khatra hai
bandhutw ko charm se khatra hai
riti ko riwaj se
mukhaute ko mizaj se
samta ko samaj se
andhiyon ko kanon se
shiw ko ganon se
nakhre ko kartawya se
waktawy ko mantawya se
kal ko aaj se
gale ko awaz se
saDak ko namaz se khatra hai
jinko khatra hai, unse khatra hai
स्रोत :
रचनाकार : सौम्य मालवीय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.