उमड़ उमड़ आए खटमल
मैं जागा सारी रात
बिस्तर क्या था, जंगल था,
मैं भागा सारी रात
ख़ून खींचता रहा रगों से
आगा सारी रात
अस्पताल में यों हम बैठे
नागा सारी रात
अभी-अभी मारा, फिर कैसे
निकला यह पाताल से
तरुण गुरिल्ला मात खा गए
शिशु खटमल की चाल से
रात्रि-जागरण-दिन की निद्रा
चिपके मेरे भाल से
यम की नानी डरती होगी
खटमल के कंकाल से
निकल आया फिर कहाँ से
खटमलों का यह हजूम
मैं ज़रा जाता हूँ बाहर
मैं ज़रा आता हूँ घूम
रक्त बीजों की फ़सल को
मौत क्या सकती है चूम
मगर बाहर मच्छरों ने भी मचा रक्खी है धूम
हम भी भागे, छिपकलियाँ भी भागीं सारी रात
हम भी जागे, छिपकलियाँ भी जागीं सारी रात
जीत गई छिपकलियाँ, लेकिन हमने मानी हार
अपने बूते सौ पचास भी मच्छर सके न मार
जीत गईं छिपकलियाँ, लेकिन हमने मानी हार
अपने बूते सौ पचास भी खटमल सके न मार
umaD umaD aaye khatmal
main jaga sari raat
bistar kya tha, jangal tha,
main bhaga sari raat
khoon khinchta raha ragon se
aga sari raat
aspatal mein yon hum baithe
naga sari raat
abhi abhi mara, phir kaise
nikla ye patal se
tarun gurilla mat kha gaye
shishu khatmal ki chaal se
ratri jagaran din ki nidra
chipke mere bhaal se
yam ki nani Darti hogi
khatmal ke kankal se
nikal aaya phir kahan se
khatamlon ka ye hajum
main zara jata hoon bahar
main zara aata hoon ghoom
rakt bijon ki fasal ko
maut kya sakti hai choom
magar bahar machchhron ne bhi macha rakkhi hai dhoom
hum bhi bhage, chhipkiliyan bhi bhagin sari raat
hum bhi jage, chhipkiliyan bhi jagin sari raat
jeet gai chhipkiliyan, lekin hamne mani haar
apne bute sau pachas bhi machchhar sake na mar
jeet gain chhipkiliyan, lekin hamne mani haar
apne bute sau pachas bhi khatmal sake na mar
umaD umaD aaye khatmal
main jaga sari raat
bistar kya tha, jangal tha,
main bhaga sari raat
khoon khinchta raha ragon se
aga sari raat
aspatal mein yon hum baithe
naga sari raat
abhi abhi mara, phir kaise
nikla ye patal se
tarun gurilla mat kha gaye
shishu khatmal ki chaal se
ratri jagaran din ki nidra
chipke mere bhaal se
yam ki nani Darti hogi
khatmal ke kankal se
nikal aaya phir kahan se
khatamlon ka ye hajum
main zara jata hoon bahar
main zara aata hoon ghoom
rakt bijon ki fasal ko
maut kya sakti hai choom
magar bahar machchhron ne bhi macha rakkhi hai dhoom
hum bhi bhage, chhipkiliyan bhi bhagin sari raat
hum bhi jage, chhipkiliyan bhi jagin sari raat
jeet gai chhipkiliyan, lekin hamne mani haar
apne bute sau pachas bhi machchhar sake na mar
jeet gain chhipkiliyan, lekin hamne mani haar
apne bute sau pachas bhi khatmal sake na mar
स्रोत :
पुस्तक : नागार्जुन रचना संचयन (पृष्ठ 110)
संपादक : राजेश जोशी
रचनाकार : नागार्जुन
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.