अभी चराग़ों की गुफ़्तगू चल रही है आँधियों से
अभी पसीना तपकर ताँबा हो रहा है
अभी दरातियाँ सान पर चढ़ रही हैं
अभी मौसमों का मिज़ाज पढ़ा जा रहा है
अभी उनके कहे को हथेलियों पर तौला जा रहा है
अभी घोड़े के पैरों में लोहे के जूते चढ़ाए जा रहे हैं
अभी पेड़ों, पहाड़ों और नदियों के साथ रात्रि-सभा चल रही है
अभी ईंट, मिट्टी और गारे से हाथ की मुट्ठियाँ मज़बूत की जा रही हैं
अभी आँखों में करूणा की जगह क्रोध भरा जा रहा है
जब वृक्षों से साया उतरेगा
जब बादल से अग्नि बरसेगी
जब पत्थर से वाणी फूटेगी
तब,
हाँ तब
चुभेगी
तुम्हारी पीठ पर
हमारी नज़र
ख़ंजर बनकर।
abhi charaghon ki guphtgu chal rahi hai andhiyon se
abhi pasina tapkar tanba ho raha hai
abhi daratiyan saan par chaDh rahi hain
abhi mausmon ka mizaj paDha ja raha hai
abhi unke kahe ko hatheliyon par taula ja raha hai
abhi ghoDe ke pairon mein lohe ke jute chaDhaye ja rahe hain
abhi peDon, pahaDon aur nadiyon ke saath ratri sabha chal rahi hai
abhi iint, mitti aur gare se haath ki mutthiyan mazbut ki ja rahi hain
abhi ankhon mein karuna ki jagah krodh bhara ja raha hai
jab vrikshon se saya utrega
jab badal se agni barsegi
jab patthar se vani phutegi
tab,
haan tab
chubhegi
tumhari peeth par
hamari nazar
khanjar bankar.

स्रोत :
रचनाकार : अनादि सूफ़ी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.