खंडित यात्राओं में मिले हुए स्पर्श और सीमाओं की खोल में
तैरता एक ह्वेल मछली का शरीर स्पंदित करता है आकाश
सारा का सारा शहर डूब जाता है एक काई जैसी धुंध में
और रोज़ सुबह होते ही प्रारंभ हो जाती है प्रतीक्षा!
प्रतीक्षा लिए कई ध्वस्त खंडहरों पर जागती हुई आँखें
टूटती है!
स्वप्न के परिदृश्य की टूटी आहट को पाने बेचैन मृगतृष्णा
रँग देती है एक अनंत मौन।
प्रेम की अनिर्वचनीय ऊब-सा थका हुआ शरीर
गन्नों के खेतों में तोड़ देना चाहता है तुम्हारी देह!
स्पर्श की चिपचिपाहट से पसीना-पसीना हो जाता है बायाँ अंग
छोटी-सी यात्रा में तुम्हारे आजानुबाहु चिपके रहते हैं अनजान
फैल जाती हैं श्वास-नलिकाओं में तुम्हारी सुरक्षित देह को स्पर्श-गंध
और एक नई आवाज़-सी बदल जाती हो तुम रोज़!
पागल की तरह बातें करते-करते गुज़र जाती हैं सदियाँ और यात्राएँ
और बसें और रास्ते—
मैं नहीं बजा पाता हूँ तुम्हारी अँगुलियों के पोरों को कसकर
अपनी पसीने भरी हथेली में पियानो का की-बोर्ड
—यह देह-रक्षा का प्रयत्नपूर्ण लाघव मुझे किसी भी सीमा पर
स्वीकार नहीं
मुझे नहीं रुचता सीढ़ी-सीढ़ी चढ़ता हुआ प्रेम
मैं एक साथ कूद जाना चाहता हूँ तुम्हारे साथ अँधेरी घाटी में
जहाँ हमारे वस्त्र न हों, केवल हम हों और अपरिचित चेहरों
के बीच हमारी यात्राएँ हों!
khanDit yatraon mein mile hue sparsh aur simaon ki khol mein
tairta ek hwel machhli ka sharir spandit karta hai akash
sara ka sara shahr Doob jata hai ek kai jaisi dhundh mein
aur roz subah hote hi prarambh ho jati hai pratiksha!
pratiksha liye kai dhwast khanDahron par jagti hui ankhen
tutti hai!
swapn ke paridrshy ki tuti aahat ko pane bechain mrigatrshna
rang deti hai ek anant maun
prem ki anirwachniy ub sa thaka hua sharir
gannon ke kheton mein toD dena chahta hai tumhari deh!
sparsh ki chipachipahat se pasina pasina ho jata hai bayan ang
chhoti si yatra mein tumhare ajanubahu chipke rahte hain anjan
phail jati hain shwas nalikaon mein tumhari surakshait deh ko sparsh gandh
aur ek nai awaz si badal jati ho tum roz!
pagal ki tarah baten karte karte guzar jati hain sadiyan aur yatrayen
aur basen aur raste—
main nahin baja pata hoon tumhari anguliyon ke poron ko kaskar
apni pasine bhari hatheli mein piano ka ki board
—yah deh rakhsha ka pryatnpurn laghaw mujhe kisi bhi sima par
swikar nahin
mujhe nahin ruchta siDhi siDhi chaDhta hua prem
main ek sath kood jana chahta hoon tumhare sath andheri ghati mein
jahan hamare wastra na hon, kewal hum hon aur aprichit chehron
ke beech hamari yatrayen hon!

स्रोत :
पुस्तक : विजप (पृष्ठ 71)
रचनाकार : जगदीश चतुर्वेदी
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.