मुझे खलता था तुम्हारा हर सुबह
मुझे नींद से जगा देना,
तुम्हें तुम्हारी चाय बना देने के लिए।
वैसे चाय बनाने से मुझे कोई ऐतराज़ तो नहीं,
पर, हफ़्ते में किसी एक दिन भी
सुबह की चाय हम दोनों लिए तुम बनाते
तो 'शायद' खलना बंद हो जाता!
मुझे खलता था ऑफ़िस जाने से पहले
तुम्हारा मेरे लिए अपने प्लेट में जूठा खाना छोड़ जाना।
वैसे तुम्हारे जूठा खाने से मुझे कोई ऐतराज़ तो नहीं,
पर अगर उसे छोड़ते हुए प्यार से पूछते,
मुझसे खाया नहीं गया, क्या तुम खा लोगी?
तो 'शायद' खलना बंद हो जाता!
मुझे खलता था तुम्हारा ऑफ़िस से लौटते ही
अपने ऑफ़िस की झंझटों, सफ़र की जद्दोजहदों के क़िस्से सुनाते हुए मुझी पर सारी भड़ासे निकाल देना।
वैसे तुम्हारे दिन-भर के क़िस्से सुनने से मुझे कोई ऐतराज़ तो नहीं,
पर (उसके बाद) कभी मेरी दिनचर्या भी जानने में रुचि दिखाते
तो 'शायद' खलना बंद हो जाता!
मुझे खलता था रात के भोजन के बाद
तुम्हारा टीवी या उपन्यास लेकर बैठ जाना।
वैसे तुम्हारे टीवी देखने या उपन्यास पढ़ने से मुझे कोई ऐतराज़ तो नहीं,
पर कभी बर्तनों की सफ़ाई या बिस्तर तैयार करने में हाथ बटा देते
तो 'शायद' खलना बंद हो जाता।
मुझे खलता था सिर्फ़ रात को ही सोते वक्त तुम्हारा
मुझसे (कामुक) प्यार जताना।
वैसे तुम्हारे प्यार जताने से मुझे कोई ऐतराज़ तो नहीं,
पर सुबह निकलते वक्त या दिन-भर में फोन पर कभी भी प्यार जता देते
तो 'शायद' खलना बंद हो जाता!
पर आज अपनी अनुभूतियों को कविता का रूप देते हुए
मुझे कुछ और खल रहा है।
मुझे अपनी ही कविता में
'शायद' शब्द खल रहा है!
आज मुझे तुम्हारा नहीं, अपना ग़लत होना खल रहा है!
मुझे खल रहा है
मेरा इतने सालों से तुम्हारे आगे चुप रह जाना;
अपने आत्म सम्मान से समझौता कर लेना;
तुम्हारे अन्यायों को अपना भाग्य मान लेना;
मुझे खल रहा है मेरा कभी तुमसे ना नहीं कह पाना!
मुझे खल रहा है
मेरा अब तक अपने लिए आवाज़ न उठाना,
यह जानते हुए भी कि तुम मेरे स्त्री होने को मेरा कमतर होना समझते हो,
अपने अचेतन मन में पत्नी धर्म को दासत्व का पर्याय मानते हो,
मुझे खल रहा है
कि मैंने ज़रा-से प्रेम के बदले
वह सब कुछ मान लेना स्वीकार कर लिया था!
मुझे खल रहा है मेरा स्वयं 'पितृसत्तात्मक' होना।
पर ख़ुशी इस बात की है, कि
आज से;
अभी से;
और शायद नहीं, 'निश्चित' रूप से,
यह खलना कभी बंद नहीं होगा।
और जितनी बार मुझे खलेगा, उतनी बार मेरा मुँह खुलेगा।
mujhe khalta tha tumhara har subah
mujhe neend se jaga dena,
tumhein tumhari chaay bana dene ke liye.
vaise chaay banane se mujhe koi aitraz to nahin,
par, hafte mein kisi ek din bhi
subah ki chaay hum donon liye tum banate
to shayad khalna band ho jata!
mujhe khalta tha aufis jane se pahle
tumhara mere liye apne plet mein jutha khana chhoD jana.
vaise tumhare jutha khane se mujhe koi aitraz to nahin,
par agar use chhoDte hue pyaar se puchhte,
mujhse khaya nahin gaya, kya tum kha logi?
to shayad khalna band ho jata!
mujhe khalta tha tumhara aufis se lautte hi
apne aufis ki jhanjhton, safar ki jaddojahdon ke qisse sunate hue mujhi par sari bhaDase nikal dena.
vaise tumhare din bhar ke kisse sunne se mujhe koi aitraz to nahin,
par (uske baad) kabhi meri dincharya bhi janne mein ruchi dikhate
to shayad khalna band ho jata!
mujhe khalta tha raat ke bhojan ke baad
tumhara tivi ya upanyas lekar baith jana.
vaise tumhare tivi dekhne ya upanyas paDhne se mujhe koi aitraz to nahin,
par kabhi bartnon ki safai ya bistar taiyar karne mein haath bata dete
to shayad khalna band ho jata.
mujhe khalta tha sirf raat ko hi sote vakt tumhara
mujhse (kamuk) pyaar jatana.
vaise tumhare pyaar jatane se mujhe koi aitraz to nahin,
par subah nikalte vakt ya din bhar mein phon par kabhi bhi pyaar jata dete
to shayad khalna band ho jata!
par aaj apni anubhutiyon ko kavita ka roop dete hue
mujhe kuch aur khal raha hai.
mujhe apni hi kavita mein
shayad shabd khal raha hai!
aaj mujhe tumhara nahin, apna ghalat hona khal raha hai!
mujhe khal raha hai
mera itne salon se tumhare aage chup rah jana;
apne aatm samman se samjhauta kar lena;
tumhare anyayon ko apna bhagya maan lena;
mujhe khal raha hai mera kabhi tumse na nahin kah pana!
mujhe khal raha hai
mera ab tak apne liye avaz na uthana,
ye jante hue bhi ki tum mere stri hone ko mera kamtar hona samajhte ho,
apne achetan man mein patni dharm ko dasatv ka paryay mante ho,
mujhe khal raha hai
ki mainne zara se prem ke badle
wo sab kuch maan lena svikar kar liya tha!
mujhe khal raha hai mera svayan pitrisattatmak hona.
par khushi is baat ki hai, ki
aaj se;
abhi se;
aur shayad nahin, nishchit roop se,
ye khalna kabhi band nahin hoga.
aur jitni baar mujhe khalega, utni baar mera munh khulega.

स्रोत :
रचनाकार : तृषान्निता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.