बाँटने से बरकत होती है
कहते-कहते बुढ़ा गईं कितनी सदियाँ
मैं तुम्हें ज़रा भी नहीं छोड़ पाई किसी के लिए
एक बित्ता, एक रत्ती नहीं
प्रेम ने महान नहीं बनाया
अच्छा तक न रहने दिया
ऐसे कुंडली मारे बैठी रही
तुम्हारी कुंठा और क्रोध तक पर
कि दृष्टि और शब्दों पर एकाधिकार
साधारण बात रह गई
बिछाए रही अपनी ही त्वचा
यूँ हर स्पर्श के नीचे
कि भूल गए तुम्हारे तलवे पृथ्वी का बारहमासी परस
तुम्हारी ग्रीवा के गहरे तिल पर बेड़ा डाले हैं
कबसे मेरे नमक की सब नौकाएँ
हाड़-मांस पर टिका रहा मोह
भूलती गई सब लिखी पढ़ी दिव्य प्रेम की परिभाषाएँ
इतना तक चाहती थी
कि तुम मड़ुए का उपेक्षित खेत हो जाओ
जिसमें रोप सकूँ
दो-चार फूल अपनी कामना के निर्विघ्न
पट्टेदारी परिग्रह नहीं
कि कोई भी आए उगा ले सुनहरी फ़सल
हरी कर ले अपनी आँख और आत्मा
दबा ले पेटी भर कलदार सिक्के
भर ले कुनबे का पेट
और देखना चाहती थी तुम्हें
ख़ंदक़ में दूरस्थ पुष्प-सा तिरस्कृत निरुपाय भी
जो सुकुमार तितली को सौंप देता है सर्वस्व
मूँद लेता है आँख
अगाध सुख सुगंध से एक अंतिम बार
सब सकार नकार लोक अलोक समझती हूँ
फिर भी प्रेम में हो गई यूँ दुष्ट खलकामी
एक स्त्री को शोभा देता है क्या
चाहना चक्रवर्ती पुरुष से ऐसा एकमुखी प्रेम?
bantne se barkat hoti hai
kahte kahte buDha gain kitni sadiyan
main tumhein zara bhi nahin chhoD pai kisi ke liye
ek bitta, ek ratti nahin
prem ne mahan nahin banaya
achchha tak na rahne diya
aise kunDli mare baithi rahi
tumhari kuntha aur krodh tak par
ki drishti aur shabdon par ekadhikar
sadharan baat rah gai
bichhaye rahi apni hi twacha
yoon har sparsh ke niche
ki bhool gaye tumhare talwe prithwi ka barahmasi paras
tumhari griwa ke gahre til par beDa Dale hain
kabse mere namak ki sab naukayen
haD mans par tika raha moh
bhulti gai sab likhi paDhi diwy prem ki paribhashayen
itna tak chahti thi
ki tum maDue ka upekshait khet ho jao
jismen rop sakun
do chaar phool apni kamna ke nirwighn
pattedari parigrah nahin
ki koi bhi aaye uga le sunahri fasal
hari kar le apni ankh aur aatma
daba le peti bhar kaldar sikke
bhar le kunbe ka pet
aur dekhana chahti thi tumhein
khandaq mein durasth pushp sa tiraskrit nirupay bhi
jo sukumar titli ko saump deta hai sarwasw
moond leta hai ankh
agadh sukh sugandh se ek antim bar
sab sakar nakar lok alok samajhti hoon
phir bhi prem mein ho gai yoon dusht khalkami
ek istri ko shobha deta hai kya
chahna chakrawarti purush se aisa ekmukhi prem?
bantne se barkat hoti hai
kahte kahte buDha gain kitni sadiyan
main tumhein zara bhi nahin chhoD pai kisi ke liye
ek bitta, ek ratti nahin
prem ne mahan nahin banaya
achchha tak na rahne diya
aise kunDli mare baithi rahi
tumhari kuntha aur krodh tak par
ki drishti aur shabdon par ekadhikar
sadharan baat rah gai
bichhaye rahi apni hi twacha
yoon har sparsh ke niche
ki bhool gaye tumhare talwe prithwi ka barahmasi paras
tumhari griwa ke gahre til par beDa Dale hain
kabse mere namak ki sab naukayen
haD mans par tika raha moh
bhulti gai sab likhi paDhi diwy prem ki paribhashayen
itna tak chahti thi
ki tum maDue ka upekshait khet ho jao
jismen rop sakun
do chaar phool apni kamna ke nirwighn
pattedari parigrah nahin
ki koi bhi aaye uga le sunahri fasal
hari kar le apni ankh aur aatma
daba le peti bhar kaldar sikke
bhar le kunbe ka pet
aur dekhana chahti thi tumhein
khandaq mein durasth pushp sa tiraskrit nirupay bhi
jo sukumar titli ko saump deta hai sarwasw
moond leta hai ankh
agadh sukh sugandh se ek antim bar
sab sakar nakar lok alok samajhti hoon
phir bhi prem mein ho gai yoon dusht khalkami
ek istri ko shobha deta hai kya
chahna chakrawarti purush se aisa ekmukhi prem?
स्रोत :
रचनाकार : अनुराधा सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.