इस घर को बचाती है एक कील
जो गड़ी है डाइनिंग हॉल के बीचों-बीच
कुछेक सुंदर दिनों की फड़फड़ाहट
एकत्र हैं तस्वीरों में
चमकीले दिनों की थाली में
टन्न से बजती बाईं नाक में गड़ती है अब भी
जब रात बीतने से रोक ले कोई चुंबन
महज़ एक कील से
टँग जाता है शामियाना इस घर का
बहस के बड़े-बड़े मसले
हल हुए हैं इस कील से
कील गुम जाने के डर से
बेचैनियाँ बिखर जाती हैं फ़र्श पर
दीवारों पर
गमलों में
हर दिवाली पर ठोकी जाती हैं नई कीलें
जैसे ठोकता है कोई अपना माथा
टँग जाती है मुस्कुराती फ़ैमिली फ़ोटो
बार-बार फ़्रेमिंग करा कर।
is ghar ko bachati hai ek keel
jo gaDi hai Daining hall ke bichon beech
kuchhek sundar dinon ki phaDphaDahat
ekatr hain taswiron mein
chamkile dinon ki thali mein
tann se bajti bain nak mein gaDti hai ab bhi
jab raat bitne se rok le koi chumban
mahz ek keel se
tang jata hai shamiyana is ghar ka
bahs ke baDe baDe masle
hal hue hain is keel se
keel gum jane ke Dar se
bechainiyan bikhar jati hain farsh par
diwaron par
gamlon mein
har diwali par thoki jati hain nai kilen
jaise thokta hai koi apna matha
tang jati hai muskurati faimili photo
bar bar freming kara kar
is ghar ko bachati hai ek keel
jo gaDi hai Daining hall ke bichon beech
kuchhek sundar dinon ki phaDphaDahat
ekatr hain taswiron mein
chamkile dinon ki thali mein
tann se bajti bain nak mein gaDti hai ab bhi
jab raat bitne se rok le koi chumban
mahz ek keel se
tang jata hai shamiyana is ghar ka
bahs ke baDe baDe masle
hal hue hain is keel se
keel gum jane ke Dar se
bechainiyan bikhar jati hain farsh par
diwaron par
gamlon mein
har diwali par thoki jati hain nai kilen
jaise thokta hai koi apna matha
tang jati hai muskurati faimili photo
bar bar freming kara kar
स्रोत :
रचनाकार : नताशा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.