कविताओं का क्या बुरा हुआ होगा इससे
जब गैलिलियो ने कहा—
सूरज कभी नहीं डूबता
सूरज कभी नहीं उगता
और परिक्रमा करती है पृथ्वी
सूरज के चारों ओर
भले ही हिल गया हो चर्च
हड़कंप मच गया हो यूरोप में
इससे कविताओं का क्या बुरा होता होगा
पता चलता है जब
कि मिट्टी का सोंधापन
एक ख़ास तरह के बैक्टीरिया के कारण है
और सीप में मोती
किसी स्वाति बूँद से नहीं
बल्कि रेतकण जैसी किसी चीज़ के
पड़ जाने से बनती है
अंदाज़ा है मुझे
अक्सर कविता
कैसे होती है मुकम्मल
पता चलता है जब
फूलों में ख़ुशबू कहाँ से आती है
कहाँ से उभरता है
तितलियों के परों पर रंग
कैसे बनते हैं बादल
चाँद क्यों चमकता है
kawitaon ka kya bura hua hoga isse
jab galileo ne kaha—
suraj kabhi nahin Dubta
suraj kabhi nahin ugta
aur parikrama karti hai prithwi
suraj ke charon or
bhale hi hil gaya ho church
haDkamp mach gaya ho europe mein
isse kawitaon ka kya bura hota hoga
pata chalta hai jab
ki mitti ka sondhapan
ek khas tarah ke baiktiriya ke karan hai
aur seep mein moti
kisi swati boond se nahin
balki retkan jaisi kisi cheez ke
paD jane se banti hai
andaza hai mujhe
aksar kawita
kaise hoti hai mukammal
pata chalta hai jab
phulon mein khushbu kahan se aati hai
kahan se ubharta hai
titaliyon ke paron par rang
kaise bante hain badal
chand kyon chamakta hai
kawitaon ka kya bura hua hoga isse
jab galileo ne kaha—
suraj kabhi nahin Dubta
suraj kabhi nahin ugta
aur parikrama karti hai prithwi
suraj ke charon or
bhale hi hil gaya ho church
haDkamp mach gaya ho europe mein
isse kawitaon ka kya bura hota hoga
pata chalta hai jab
ki mitti ka sondhapan
ek khas tarah ke baiktiriya ke karan hai
aur seep mein moti
kisi swati boond se nahin
balki retkan jaisi kisi cheez ke
paD jane se banti hai
andaza hai mujhe
aksar kawita
kaise hoti hai mukammal
pata chalta hai jab
phulon mein khushbu kahan se aati hai
kahan se ubharta hai
titaliyon ke paron par rang
kaise bante hain badal
chand kyon chamakta hai
स्रोत :
रचनाकार : संजीव गुप्त
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.