आज की कविता का विषय है ठंड
जो दुबकी है मेरे पुलोवर के नीचे
पैंट की जेब में
हथेलियों, उँगलियों की पोरों में
इत्मीनान से,
मेरी है ठंड
दूसरों की
दूसरों के पास होगी
सामने जल रही होगी गोरसी
पुलोवर से दूर
अख़बार के साँय-साँय सुनसान में
छोटे-छोटे अक्षरों में छपेगी
दूसरों की
ठंड से मरने की ख़बर
आज की कविता का विषय है ख़बर
जो नहीं छपी किसी अख़बार में
और अगर छपी तो
किसी ने नहीं पढ़ी
किसी ने नहीं लिखी
ख़बर की कविता
सुनकर लोग चले गए
अपने हिस्से की आग तापकर
अपने घर
आज की कविता का विषय है
सबसे पहले नींद
और आग
और ठंड
किसी ने नहीं लिखी
मैंने तो बिल्कुल ही नहीं
aaj ki kawita ka wishay hai thanD
jo dubki hai mere pulowar ke niche
paint ki jeb mein
hatheliyon, ungliyon ki poron mein
itminan se,
meri hai thanD
dusron ki
dusron ke pas hogi
samne jal rahi hogi gorasi
pulowar se door
akhbar ke sanya sanya sunsan mein
chhote chhote akshron mein chhapegi
dusron ki
thanD se marne ki khabar
aj ki kawita ka wishay hai khabar
jo nahin chhapi kisi akhbar mein
aur agar chhapi to
kisi ne nahin paDhi
kisi ne nahin likhi
khabar ki kawita
sunkar log chale gaye
apne hisse ki aag tapkar
apne ghar
aj ki kawita ka wishay hai
sabse pahle neend
aur aag
aur thanD
kisi ne nahin likhi
mainne to bilkul hi nahin
aaj ki kawita ka wishay hai thanD
jo dubki hai mere pulowar ke niche
paint ki jeb mein
hatheliyon, ungliyon ki poron mein
itminan se,
meri hai thanD
dusron ki
dusron ke pas hogi
samne jal rahi hogi gorasi
pulowar se door
akhbar ke sanya sanya sunsan mein
chhote chhote akshron mein chhapegi
dusron ki
thanD se marne ki khabar
aj ki kawita ka wishay hai khabar
jo nahin chhapi kisi akhbar mein
aur agar chhapi to
kisi ne nahin paDhi
kisi ne nahin likhi
khabar ki kawita
sunkar log chale gaye
apne hisse ki aag tapkar
apne ghar
aj ki kawita ka wishay hai
sabse pahle neend
aur aag
aur thanD
kisi ne nahin likhi
mainne to bilkul hi nahin
स्रोत :
रचनाकार : प्रभात त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.