सबसे आख़िर में आता है उनका नाम
कवियों की स्मृतियों में।
समर्पित हो चुकी होती हैं अनेक कविता-पुस्तकें
मित्रों, प्रेमिकाओं, आलोचकों, कृपालु अग्रजों
और शुभाकांक्षी संरक्षकों को
तब आती है याद कवियों को उनकी
दर्ज करते हैं वे उनका नाम
अपनी कविता-पुस्तक में
एक अव्यक्त अपराध-भाव से भर कर।
वे अलस्सुबह उठती थीं
बिस्तर बिछाती थीं
खाना पकाती थीं।
वे बच्चों को स्कूल पठाती थीं
रात को बत्तियाँ बुझाती थीं
चाय बनाती थीं
अपनी हसरतों को पत्तियों की जगह छानती हुईं
कवि देश, दुनिया, राजनीति और कला पर
बहस करते थे
वे घर की रखवाली करती थीं
कवि यात्राएँ करते थे।
पुरस्कृत होने पर जब कवि दमक उठते थे
सम्मान के प्रकाश में
वे एक ओर खड़ी—
प्रतिबिंबित आलोक के नीम अँधेरे में—
प्रकरांतर से प्राप्त करती थीं
उपलब्धि का सुख।
जब कभी लौटते थे कवि
रण में पराजित योद्धाओं की तरह
आहत और अपमानित हो कर
तब वे उन्हें उनका पौरुष लौटाती थीं।
कभी-कभी, बिल्कुल कभी-कभी,
जब अपने आत्म-मुग्ध संसार से पलट कर
कवियों का ध्यान जाता था उनकी तरफ़—
शायद जब वे दिन भर की थकान से श्लथ देह लिए
बिस्तर पर ढह जाने के बाद
बाँहों से आँखें ढँके
लंबी साँस लेती थीं—
तब कभी-कभी, बिल्कुल कभी-कभी
क्या सुन पड़ता था कवियों को
उनके कुचले हुए सपनों का चीत्कार!
sabse akhir mein aata hai unka nam
kawiyon ki smritiyon mein
samarpit ho chuki hoti hain anek kawita pustken
mitron, premikaon, alochkon, kripalu agrjon
aur shubhakankshi sanrakshkon ko
tab aati hai yaad kawiyon ko unki
darj karte hain we unka nam
apni kawita pustak mein
ek awyakt apradh bhaw se bhar kar
we alassubah uthti theen
bistar bichhati theen
khana pakati theen
kawi likhte the kawitayen
we bachchon ko school pathati theen
raat ko battiyan bujhati theen
chay banati theen
apni hasarton ko pattiyon ki jagah chhanti huin
kawi desh, duniya, rajaniti aur kala par
bahs karte the
we ghar ki rakhwali karti theen
kawi yatrayen karte the
puraskrit hone par jab kawi damak uthte the
samman ke parkash mein
we ek or khaDi—
pratibimbit aalok ke neem andhere mein—
prakrantar se prapt karti theen
uplabdhi ka sukh
jab kabhi lautte the kawi
ran mein parajit yoddhaon ki tarah
ahat aur apmanit ho kar
tab we unhen unka paurush lautati theen
kabhi kabhi, bilkul kabhi kabhi,
jab apne aatm mugdh sansar se palat kar
kawiyon ka dhyan jata tha unki taraf—
shayad jab we din bhar ki thakan se shlath deh liye
bistar par Dah jane ke baad
banhon se ankhen Dhanke
lambi sans leti theen—
tab kabhi kabhi, bilkul kabhi kabhi
kya sun paDta tha kawiyon ko
unke kuchle hue sapnon ka chitkar!
sabse akhir mein aata hai unka nam
kawiyon ki smritiyon mein
samarpit ho chuki hoti hain anek kawita pustken
mitron, premikaon, alochkon, kripalu agrjon
aur shubhakankshi sanrakshkon ko
tab aati hai yaad kawiyon ko unki
darj karte hain we unka nam
apni kawita pustak mein
ek awyakt apradh bhaw se bhar kar
we alassubah uthti theen
bistar bichhati theen
khana pakati theen
kawi likhte the kawitayen
we bachchon ko school pathati theen
raat ko battiyan bujhati theen
chay banati theen
apni hasarton ko pattiyon ki jagah chhanti huin
kawi desh, duniya, rajaniti aur kala par
bahs karte the
we ghar ki rakhwali karti theen
kawi yatrayen karte the
puraskrit hone par jab kawi damak uthte the
samman ke parkash mein
we ek or khaDi—
pratibimbit aalok ke neem andhere mein—
prakrantar se prapt karti theen
uplabdhi ka sukh
jab kabhi lautte the kawi
ran mein parajit yoddhaon ki tarah
ahat aur apmanit ho kar
tab we unhen unka paurush lautati theen
kabhi kabhi, bilkul kabhi kabhi,
jab apne aatm mugdh sansar se palat kar
kawiyon ka dhyan jata tha unki taraf—
shayad jab we din bhar ki thakan se shlath deh liye
bistar par Dah jane ke baad
banhon se ankhen Dhanke
lambi sans leti theen—
tab kabhi kabhi, bilkul kabhi kabhi
kya sun paDta tha kawiyon ko
unke kuchle hue sapnon ka chitkar!
स्रोत :
पुस्तक : कुल जमा-3 (पृष्ठ 24)
रचनाकार : नीलाभ
प्रकाशन : शब्द प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.