भाष्कराचार्य की बेटी लीलावती
उसकी मेधा में बसती थी उनकी गणित
कल्पना
सृष्टि का आदि-अंत
सब कुछ स्थित था
उसकी अँगुलियों के पोर पर
जब से यह दुनिया है
और सूरज जब भी डूबता है
तब किसी कवि की बेटी जलाती है दीपक
सुबह सूरज को उगने के लिए हाँक लगाती है वह
उसके इशारे पर दिन-रात की अवधि निर्धारित होती है
कवि को पसीना आता है जब
वह हाथ से डोलने वाला पंखा बन जाती है
प्यासे कवि का कंठ
बेटी की राह जोहता है
पानी बन जाती है वह
जब थक जाता है कवि
तो वह बीनकर लाती है शब्द
जैसे महुआ बीनती हो कोई बुढ़िया
बिसाती की तरह भटक रहे पिता के लिए
बेटी अर्थ खोजकर लाती है
कवियों की सारी कविताएँ तो
उनकी बेटियों ने ही लिखी हैं।
bhashkracharya ki beti lilawati
uski medha mein basti thi unki ganait
kalpana
sirishti ka aadi ant
sab kuch sthit tha
uski anguliyon ke por par
jab se ye duniya hai
aur suraj jab bhi Dubta hai
tab kisi kawi ki beti jalati hai dipak
subah suraj ko ugne ke liye hank lagati hai wo
uske ishare par din raat ki awadhi nirdharit hoti hai
kawi ko pasina aata hai jab
wo hath se Dolne wala pankha ban jati hai
pyase kawi ka kanth
beti ki rah johta hai
pani ban jati hai wo
jab thak jata hai kawi
to wo binkar lati hai shabd
jaise mahua binti ho koi buDhiya
bisati ki tarah bhatak rahe pita ke liye
beti arth khojkar lati hai
kawiyon ki sari kawitayen to
unki betiyon ne hi likhi hain
bhashkracharya ki beti lilawati
uski medha mein basti thi unki ganait
kalpana
sirishti ka aadi ant
sab kuch sthit tha
uski anguliyon ke por par
jab se ye duniya hai
aur suraj jab bhi Dubta hai
tab kisi kawi ki beti jalati hai dipak
subah suraj ko ugne ke liye hank lagati hai wo
uske ishare par din raat ki awadhi nirdharit hoti hai
kawi ko pasina aata hai jab
wo hath se Dolne wala pankha ban jati hai
pyase kawi ka kanth
beti ki rah johta hai
pani ban jati hai wo
jab thak jata hai kawi
to wo binkar lati hai shabd
jaise mahua binti ho koi buDhiya
bisati ki tarah bhatak rahe pita ke liye
beti arth khojkar lati hai
kawiyon ki sari kawitayen to
unki betiyon ne hi likhi hain
स्रोत :
रचनाकार : रमाशंकर सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.