हम कठपुतलियाँ
भाग्य जिनके
दो-चार धागों से बँधे
क्या पता—
किन उँगलियों से जुड़े हैं?
हमारी गति-अगति
आयोजन-नियोजन
गंतव्य और गतिशीलताएँ
सभी तो क़ैद हैं परवश
एक पंजे में।
मुक्ति दो माँ
हमें मुक्ति दो ओ!
कब तक रहें अभिशप्त हम?
गले वह बाँध, जो
हमें बाँधे हुए है
या हमीं को शाप दो और
यह काठ का जीवन धुने;
अपमृत्यु को पहुँचे; क्षार हो जाए।
अन्यथा हम...
विद्रोहिणियाँ बनकर स्वयं
एक दिन यह काठ
तुम्हारे ही विरुद्ध
उठा लेंगे हाथ में!
हम कठपुतलियाँ
भाग्य जिनके
दो-चार धागों से बँधे या बाँधे गए हैं
और एक पंजे से जुड़े या जोड़े गए हैं।
hum kathaputaliyan
bhagya jinke
do chaar dhagon se bandhe
kya pata—
kin ungliyon se juDe hain?
hamari gati agti
ayojan niyojan
gantawya aur gatishiltayen
sabhi to qaid hain parwash
ek panje mein
mukti do man
hamein mukti do o!
kab tak rahen abhishapt ham?
gale wo bandh, jo
hamein bandhe hue hai
ya hamin ko shap do aur
ye kath ka jiwan dhune;
apamrtyu ko pahunche; kshaar ho jaye
anyatha hum
widrohiniyan bankar swayan
ek din ye kath
tumhare hi wiruddh
utha lenge hath mein!
hum kathaputaliyan
bhagya jinke
do chaar dhagon se bandhe ya bandhe gaye hain
aur ek panje se juDe ya joDe gaye hain
hum kathaputaliyan
bhagya jinke
do chaar dhagon se bandhe
kya pata—
kin ungliyon se juDe hain?
hamari gati agti
ayojan niyojan
gantawya aur gatishiltayen
sabhi to qaid hain parwash
ek panje mein
mukti do man
hamein mukti do o!
kab tak rahen abhishapt ham?
gale wo bandh, jo
hamein bandhe hue hai
ya hamin ko shap do aur
ye kath ka jiwan dhune;
apamrtyu ko pahunche; kshaar ho jaye
anyatha hum
widrohiniyan bankar swayan
ek din ye kath
tumhare hi wiruddh
utha lenge hath mein!
hum kathaputaliyan
bhagya jinke
do chaar dhagon se bandhe ya bandhe gaye hain
aur ek panje se juDe ya joDe gaye hain
स्रोत :
पुस्तक : एक हस्ताक्षर और (पृष्ठ 2)
रचनाकार : राजा दुबे
प्रकाशन : नवहिंद पब्लिकेशंस
संस्करण : 1959
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.