मैं इंतज़ार करता हूँ
एक छोटा लड़का
दूध पीते-पीते मुझे कहानी सुनाता चलता है
बापू
एक शेर था
उसका सिर काटकर उन्होंने ठेले में डाल दिया
तो वह चिल्लाया हो ओ ओ
मैं अँधेरे में गया और पूछा
कौन
तो बिल्ली
वह हँसता रहा
फिर मेरे कंधे चढ़ कर उसने कहा
बापू
मैं एक अच्छा लड़का बनूँगा
मैं बाहर ताकने लगा
मैंने सोचा
निरंतर बारिश के इन दिनों में
मैं एक मकान ख़रीदूँगा
फिर उसे अपनी पत्नी और बेटे के नाम कर
छुट्टी पा जाऊँगा
उसके पिछले भाग को मैं
उस भंगन को दे दूँगा
पर मेरी पत्नी
मेरे चरित्र पर शक करती है
और मेरे बेटे की कहानी अधूरी है
बापू
एक शेर था
आदर्श से उतर मैं पटरी पर आ गया हूँ
उसका सिर काट
उन्होंने ठेले में डाल दिया।
main intzar karta hoon
ek chhota laDka
doodh pite pite mujhe kahani sunata chalta hai
bapu
ek sher tha
uska sir katkar unhonne thele mein Dal diya
to wo chillaya ho o o
main andhere mein gaya aur puchha
kaun
to billi
wo hansta raha
phir mere kandhe chaDh kar usne kaha
bapu
main ek achchha laDka banunga
main bahar takne laga
mainne socha
nirantar barish ke in dinon mein
main ek makan kharidunga
phir use apni patni aur bete ke nam kar
chhutti pa jaunga
uske pichhle bhag ko main
us bhangan ko de dunga
par meri patni
mere charitr par shak karti hai
aur mere bete ki kahani adhuri hai
bapu
ek sher tha
adarsh se utar main patri par aa gaya hoon
uska sir kat
unhonne thele mein Dal diya
main intzar karta hoon
ek chhota laDka
doodh pite pite mujhe kahani sunata chalta hai
bapu
ek sher tha
uska sir katkar unhonne thele mein Dal diya
to wo chillaya ho o o
main andhere mein gaya aur puchha
kaun
to billi
wo hansta raha
phir mere kandhe chaDh kar usne kaha
bapu
main ek achchha laDka banunga
main bahar takne laga
mainne socha
nirantar barish ke in dinon mein
main ek makan kharidunga
phir use apni patni aur bete ke nam kar
chhutti pa jaunga
uske pichhle bhag ko main
us bhangan ko de dunga
par meri patni
mere charitr par shak karti hai
aur mere bete ki kahani adhuri hai
bapu
ek sher tha
adarsh se utar main patri par aa gaya hoon
uska sir kat
unhonne thele mein Dal diya
स्रोत :
पुस्तक : आईने में चेहरा (पृष्ठ 41)
रचनाकार : जितेंद्र कुमार
प्रकाशन : जयश्री प्रकाशन
संस्करण : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.