टनकता है सर मंदिर के बड़े घंटों से
आँखें भी जलती हैं
धूप दीपों से
नहीं सुहाती गंध
मुट्ठी भर अगरबत्तियों की
घुट रहा देवता
मन्नत के धागों से
तुलसी के सीने में फाँस है—
अगरबत्तियों के गुच्छे की
पत्ते पर सिंदूर की टीस
थक चुका है देवता
उसके आलते का रंग फैल चुका है
साटन वस्त्र त्याग
वह सूत नहीं पहन सकता
भक्तों के अतिशय प्रेम से उसे निमोनिया हुआ है
बड़ा बेबस है देवता
वह नहीं रख सकता स्नेह भरा हाथ किसी के सर
आलिंगन भी नहीं कर सकता वह
इतना बेबस वह कि जब मैं
रखती अपना हाथ उनके हाथ
वह नहीं बाँध सकता मुट्ठी
ना ही
फफक कर रो सकता
वह आँखें भी नहीं मिला पाता मुझसे कभी
जिनकी चमक से चुँधिया जाए मेरी आँखें
ईश्वर नहीं जानता—ज़िंदगी के सिवा भी ज़िंदगी में कुछ है
वह पत्थर है—मैं इंसान हूँ
मैं पत्थर बनने के क्रम में हूँ
बस, देवता बनने ही वाली हूँ
tanakta hai sar mandir ke baDe ghanton se
ankhen bhi jalti hain
dhoop dipon se
nahin suhati gandh
mutthi bhar agarbattiyon ki
ghut raha dewta
mannat ke dhagon se
tulsi ke sine mein phans hai—
agarbattiyon ke guchchhe ki
patte par sindur ki tees
thak chuka hai dewta
uske aalte ka rang phail chuka hai
satan wastra tyag
wo soot nahin pahan sakta
bhakton ke atishay prem se use pneumonia hua hai
baDa bebas hai dewta
wo nahin rakh sakta sneh bhara hath kisi ke sar
alingan bhi nahin kar sakta wo
itna bebas wo ki jab main
rakhti apna hath unke hath
wo nahin bandh sakta mutthi
na hi
phaphak kar ro sakta
wo ankhen bhi nahin mila pata mujhse kabhi
jinki chamak se chundhiya jaye meri ankhen
ishwar nahin janta—zindgi ke siwa bhi zindagi mein kuch hai
wo patthar hai—main insan hoon
main patthar banne ke kram mein hoon
bus, dewta banne hi wali hoon
tanakta hai sar mandir ke baDe ghanton se
ankhen bhi jalti hain
dhoop dipon se
nahin suhati gandh
mutthi bhar agarbattiyon ki
ghut raha dewta
mannat ke dhagon se
tulsi ke sine mein phans hai—
agarbattiyon ke guchchhe ki
patte par sindur ki tees
thak chuka hai dewta
uske aalte ka rang phail chuka hai
satan wastra tyag
wo soot nahin pahan sakta
bhakton ke atishay prem se use pneumonia hua hai
baDa bebas hai dewta
wo nahin rakh sakta sneh bhara hath kisi ke sar
alingan bhi nahin kar sakta wo
itna bebas wo ki jab main
rakhti apna hath unke hath
wo nahin bandh sakta mutthi
na hi
phaphak kar ro sakta
wo ankhen bhi nahin mila pata mujhse kabhi
jinki chamak se chundhiya jaye meri ankhen
ishwar nahin janta—zindgi ke siwa bhi zindagi mein kuch hai
wo patthar hai—main insan hoon
main patthar banne ke kram mein hoon
bus, dewta banne hi wali hoon
स्रोत :
रचनाकार : घुँघरू परमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.