करना ही नहीं चाहिए लड़की से विवाह
लड़कियों के क़द बढ़ जाते हैं
रह जाती है पीछे कहीं उम्र उनकी
यह बात जब तक घर वालों को पता चलती है
तब तक घर से निकल लेती है लड़की
अपना सब कुछ समेटकर।
गाँव-समाज की मानसिकता ही
कह लीजिए
उनकी लंबाई देह से आँकते हैं
उनकी समझ-बूझ और वयस्कता
नियम कानून के बावजूद भी
कई वर्षों से मानसिक रूप से ब्याही
जाती है लड़की
किसी अनजान लड़के से।
मैं थूकता हूँ ऐसे समाज पर जिसने
दहेज़ के डर से अनदेखा किया है
वर-वधु की उम्र, सोच-विचार और शिक्षा को
ब्याही गई हैं
कई जवान लड़कियाँ
वयस्क व्यक्तियों से
खुलकर बोलता है अतीत हमारा।
कुछ नहीं तो होनी चाहिए बात
विचार
तय होनी क़द-काठी, उम्र, समझ
बहुत ज़रूरी है आज एक लड़की का
स्त्री होना
स्त्री से माँ होना
काफ़ी आसान होता है
लड़की जूझती है
अपने आप से ही अक्सर
करना ही नहीं चाहिए
लड़की से विवाह।
karna hi nahin chahiye laDki se vivah
laDakiyon ke qad baDh jate hain
rah jati hai pichhe kahin umr unki
ye baat jab tak ghar valon ko pata chalti hai
tab tak ghar se nikal leti hai laDki
apna sab kuch samet kar.
gaanv samaj ki manasikta hi
kah lijiye
unki lambai deh se ankate hain
unki samajh boojh aur vayaskata
niyam kanun ke bavjud bhi
kai varshon se manasik roop se byahi
jati hai laDki
kisi anjan laDke se.
main thukta hoon aise samaj par jisne
dahez ke Dar se andekha kiya hai
var vadhu ki umr, soch vichar aur shiksha ko
byahi gai hain
kai javan laDkiyan
vayask vyaktiyon se
khulkar bolta hai atit hamara.
kuch nahin to honi chahiye baat
vichar
tay honi qad kathi, umr, samajh
bahut zaruri hai aaj ek laDki ka
stri hona
stri se maan hona
kafi asan hota hai
laDki jujhti hai
apne aap se hi aksar
karna hi nahin chahiye
laDki se vivah.
karna hi nahin chahiye laDki se vivah
laDakiyon ke qad baDh jate hain
rah jati hai pichhe kahin umr unki
ye baat jab tak ghar valon ko pata chalti hai
tab tak ghar se nikal leti hai laDki
apna sab kuch samet kar.
gaanv samaj ki manasikta hi
kah lijiye
unki lambai deh se ankate hain
unki samajh boojh aur vayaskata
niyam kanun ke bavjud bhi
kai varshon se manasik roop se byahi
jati hai laDki
kisi anjan laDke se.
main thukta hoon aise samaj par jisne
dahez ke Dar se andekha kiya hai
var vadhu ki umr, soch vichar aur shiksha ko
byahi gai hain
kai javan laDkiyan
vayask vyaktiyon se
khulkar bolta hai atit hamara.
kuch nahin to honi chahiye baat
vichar
tay honi qad kathi, umr, samajh
bahut zaruri hai aaj ek laDki ka
stri hona
stri se maan hona
kafi asan hota hai
laDki jujhti hai
apne aap se hi aksar
karna hi nahin chahiye
laDki se vivah.
स्रोत :
रचनाकार : आलोक रंजन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.